Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut kaa khel

Mohsin Khalid Mohsin

maut kaa khel

Mohsin Khalid Mohsin

MORE BYMohsin Khalid Mohsin

    KHudaa ne ye dhartii

    har maKHluuq ke liye vaqf kar rakhii hai

    jo jii me.n aa.e kare

    ko.ii rok-Tok nahii.n

    har jins ko iKHtiyaar hai

    apnii marzii se jiine kaa

    zulm karnaa ho kare

    rahm karnaa ho kare

    sab aazaad hai.n

    apne aa'maal kii anjaam-dahii me.n

    kisii par ko.ii haakim nahii.n

    bas ek chiiz apne paas rakhii hai

    maut

    KHudaa ko ye khel pasand hai

    kahte hai.n ek din

    ehtisaab hogaa

    sabhii jinse.n jam' ho.ngii

    har ek ko pesh honaa hogaa

    chaahe vo inkaar kare yaa qubuul

    marzii sirf KHudaa kii hogii

    kis ko aasaanii denii hai

    kis ko saKHt vaqt denaa hai

    us din maut ko bhii maut dii jaa.egii

    sab ke saamne

    aur phir ko.ii

    apne haatho.n KHud ko maarne kaa KHvaab nahii.n dekhegaa

    sab jiye.nge

    jab tak KHudaa chaahegaa

    KHudaa ne ye dhartii

    har maKHluuq ke liye vaqf kar rakhii hai

    jo jii me.n aa.e kare

    ko.ii rok-Tok nahii.n

    har jins ko iKHtiyaar hai

    apnii marzii se jiine kaa

    zulm karnaa ho kare

    rahm karnaa ho kare

    sab aazaad hai.n

    apne aa'maal kii anjaam-dahii me.n

    kisii par ko.ii haakim nahii.n

    bas ek chiiz apne paas rakhii hai

    maut

    KHudaa ko ye khel pasand hai

    kahte hai.n ek din

    ehtisaab hogaa

    sabhii jinse.n jam' ho.ngii

    har ek ko pesh honaa hogaa

    chaahe vo inkaar kare yaa qubuul

    marzii sirf KHudaa kii hogii

    kis ko aasaanii denii hai

    kis ko saKHt vaqt denaa hai

    us din maut ko bhii maut dii jaa.egii

    sab ke saamne

    aur phir ko.ii

    apne haatho.n KHud ko maarne kaa KHvaab nahii.n dekhegaa

    sab jiye.nge

    jab tak KHudaa chaahegaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now