nasrii nazm
ko.ii nazm nahii.n likhnii chaahiye
nazm ko likhaa bhii nahii.n jaa saktaa
ek nazm na apne aur na kisii ke naam likhnii chaahiye
nazm ho yaa kahaanii
apne vujuud ke andar mahsuus karnii chaahiye
ek nazm ko
cigarette
kii tarah sulgaa lenii chaahiye
ek kahaanii ko
paanii
kii tarah pii lenaa chaahiye
ko.ii kahaanii
yaa ko.ii nazm apnii taqdiir KHud likh kar nahii.n laatii
ek nazm
ek kahaanii
ek KHvaab kii tarah hotii hai
jaise hame.n
likhnaa nahii.n
dekhnaa chaahiye
KHvaab dekh rahaa
aadmii
KHudaa ke daa.ii.n karvaT so rahaa hotaa hai
ko.ii nazm nahii.n likhnii chaahiye
nazm ko likhaa bhii nahii.n jaa saktaa
ek nazm na apne aur na kisii ke naam likhnii chaahiye
nazm ho yaa kahaanii
apne vujuud ke andar mahsuus karnii chaahiye
ek nazm ko
cigarette
kii tarah sulgaa lenii chaahiye
ek kahaanii ko
paanii
kii tarah pii lenaa chaahiye
ko.ii kahaanii
yaa ko.ii nazm apnii taqdiir KHud likh kar nahii.n laatii
ek nazm
ek kahaanii
ek KHvaab kii tarah hotii hai
jaise hame.n
likhnaa nahii.n
dekhnaa chaahiye
KHvaab dekh rahaa
aadmii
KHudaa ke daa.ii.n karvaT so rahaa hotaa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.