niim-murda sitaare kii KHvaahish
cigarette ke dhu.e.n me.n gum hotaa vo shaKHs
amaavas kii kaalii raat ke us chaa.nd jaisaa hai
jo ka.ii raato.n tak
aasmaan par sitaaro.n me.n shaah banaa
apnii raushnii KHairaat kartaa rahaa
aur aaj lamha-ba-lamha raa.egaanii ke black-hole me.n
gum hotaa us kaa vujuud
KHud us ke liye
ek vaahima banaa hu.aa hai
KHudaa kii banaa.ii ga.ii is kaa.enaat me.n
har insaan apnii ek kaa.enaat banaataa hai
jo ek phuul
muskuraahaT
yaa phir maa'muul kii ek Gair-maa'muulii nigaah
kii vaj.h se vujuud me.n aatii hai
yahaa.n tak ki ek ajnabii a.nguuThe ke digital lams
ke Gair-mahsuus ehsaas se bhii
aur is chhoTii sii kaa.enaat kii mumaasil
big-bang jaise ka.ii 'aziim dhamaake bhii paidaa nahii.n kar sakte
vo surma.ii pa.Dtaa shaKHs
apne hii banaa.e black-hole me.n gum ho rahaa hai
mai.n bebasii se us kii jaanib dekh rahii huu.n
us ke liye ko.ii na.ii kaa.enaat daryaaft nahii.n kar saktii
ki mai.n KHud ek niim-murda sitaara huu.n
us KHalaa kaa
jo apnii kaa.enaat nahii.n banaa sakaa
mere andar phailii raushan naa-rasaa.ii kii ja.De.n
kisii na.ii manzil kaa biij ugne nahii.n de.ngii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.