tum jaa chuke ho
magar roz khi.Dkii ke shiishe par
tumhaarii aa.nkhe.n aur ka.ii chehre numuudaar hote hai.n
mai.n tumhaaraa asl chehraa talaash nahii.n kar paatii
raat merii jaanib sargoshiyo.n me.n lipTaa
ek qahqaha phe.nktii hai
aur kamre kii diivaaro.n ke kaan
mutajassis ho kar mere andar shor kartii
in sargoshiyo.n ko sun.ne kii koshish karte hai.n
raa.egaanii KHvaabo.n ko sii.Dhii banaa kar
aa.nkho.n me.n ghar kar chukii hai
ab naa-rasaa.ii ke saa.e me.n paltii
is zindagii ko
KHushii kii halkii sii tapish bhii jhulsaa saktii hai
yaado.n aur chehro.n se KHaufzada
mai.n kamre me.n paa.nchvii.n diivaar
aur dil me.n
paa.nchvaa.n KHaana banaane me.n masruuf huu.n
is baar KHush-gumaanii kaa kaajal
aur ek bahruupiye kii
tajviiz-karda lipstick lagaa kar bhii
mai.n aa.iine ko fareb nahii.n de sakii
jaantii huu.n ki
KHastagii kaa tanaasub 'umr kii had se tajaavuz kar chukaa hai
tajdiid kaa ko.ii bhii gumaan
ab imkaan kii vus'at me.n nahii.n aa saktaa
magar
jis din tum jaan loge ki
badan ko surang banaa kar ruuh tak pahu.nchnaa mumkin nahii.n
agle din ham tumhaare asl chehre ke saath
kisii church me.n mile.nge

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.