tum jo chaaho
ye ko.ii nayaa dastuur nahii.n
vaqt kii peshaanii par
sadiyo.n se kanda hai
kuchh bachche
aa.nkh kholte hii
sone ke chammach kii chamak me.n nahaa jaate hai.n
aur ra.iis-zaade kahlaate hai.n
kuchh
maa.n ke peT se
naslo.n kii bhuuk saath laate hai.n
aur iflaas
un kaa KHaandaanii havaala ban jaataa hai
phir vaqt
KHaamosh munsif kii tarah
'umr kii dahliiz me.n kha.Daa ho kar
faisla sunaataa hai
kis ke hisse me.n viraasat aa.egii
aur kis ke hisse me.n
mehnat kii saKHt masnad
imtiyaaz
ye shaayad ko.ii Thos shai nahii.n
mahaz ek gumaan
jis par yaqiin kii diivaar kha.Dii karnaa
apne hii zehn ke gird
vahm kii baa.D lagaa lenaa hai
raaste
kisii ke liye nahii.n rukte
jo qadam ba.Dhaate hai.n
vo guzar jaate hai.n
jo biich me.n kha.De rahte hai.n
vaqt ke pahiyo.n tale
KHaamosh ho jaate hai.n
agar tum
tanhaa manzil kii samt chal pa.Do
to ba'iid nahii.n
ki tumhaaraa yaqiin hii
qaafila ban jaa.e
agar tum
raah-numaa ke aage
apnii aa.nkhe.n rakh doge
to yaad rakho
roTii aksar
kavvaa le u.Dtaa hai
aur tum
hairat kii dhuul me.n kha.De rah jaate ho
tum jo chaaho
vo ban.ne kii salaahiyat rakhte ho
ye jumla hausla-afzaa jumla nahii.n
ye savaal hai
ki tum
apnii mumkinaat ko
sehraa kyo.n nahii.n pahnaate
ye ko.ii nayaa dastuur nahii.n
vaqt kii peshaanii par
sadiyo.n se kanda hai
kuchh bachche
aa.nkh kholte hii
sone ke chammach kii chamak me.n nahaa jaate hai.n
aur ra.iis-zaade kahlaate hai.n
kuchh
maa.n ke peT se
naslo.n kii bhuuk saath laate hai.n
aur iflaas
un kaa KHaandaanii havaala ban jaataa hai
phir vaqt
KHaamosh munsif kii tarah
'umr kii dahliiz me.n kha.Daa ho kar
faisla sunaataa hai
kis ke hisse me.n viraasat aa.egii
aur kis ke hisse me.n
mehnat kii saKHt masnad
imtiyaaz
ye shaayad ko.ii Thos shai nahii.n
mahaz ek gumaan
jis par yaqiin kii diivaar kha.Dii karnaa
apne hii zehn ke gird
vahm kii baa.D lagaa lenaa hai
raaste
kisii ke liye nahii.n rukte
jo qadam ba.Dhaate hai.n
vo guzar jaate hai.n
jo biich me.n kha.De rahte hai.n
vaqt ke pahiyo.n tale
KHaamosh ho jaate hai.n
agar tum
tanhaa manzil kii samt chal pa.Do
to ba'iid nahii.n
ki tumhaaraa yaqiin hii
qaafila ban jaa.e
agar tum
raah-numaa ke aage
apnii aa.nkhe.n rakh doge
to yaad rakho
roTii aksar
kavvaa le u.Dtaa hai
aur tum
hairat kii dhuul me.n kha.De rah jaate ho
tum jo chaaho
vo ban.ne kii salaahiyat rakhte ho
ye jumla hausla-afzaa jumla nahii.n
ye savaal hai
ki tum
apnii mumkinaat ko
sehraa kyo.n nahii.n pahnaate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.