Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baada-e-ishq se sarshaar guru-nanak the

Shyam Sunder Lal Barq

baada-e-ishq se sarshaar guru-nanak the

Shyam Sunder Lal Barq

MORE BYShyam Sunder Lal Barq

    bāda-e-ishq se sarshār gurū-nānak the

    ābid-o-zāhid-o-dīñ-dār gurū-nānak the

    rah-e-tārīk-e-zalālat meñ pa.e ḳhalq-e-ḳhudā

    sham-sā mazhar-e-anvār gurū-nānak the

    haq-parastī ke tasavvur se hamesha ḳhush the

    kufr aur shirk se bezār gurū-nānak the

    tarbiyat ḳhalq karte the baḌī koshish se

    us ke har haal meñ ġham-ḳhvār gurū-nānak the

    abr-e-naisāñ ḳhavās un nasīhat meñ thā

    lab-e-shīrīñ se guhar-bār gurū-nānak the

    vāsil-e-mazil-e-maqsūd na hote kyūñkar

    faras-e-ishq pe asvār gurū-nānak the

    rāh-e-haq meñ na the pāband kisī maz.hab ke

    tārik-e-subah-o-zunnār gurū-nānak the

    ḳhvāb-e-ġhaflat se vo bedār kiyā karte the

    vā.izoñ meñ baḌe hoshiyār gurū-nānak the

    mad.h-ḳhvāñ us ho 'barq' ba-sad ijz-o-niyāz

    ḳhāksāroñ ke madad-gār gurū-nānak the

    baada-e-ishq se sarshaar guru-nanak the

    aabid-o-zahid-o-din-dar guru-nanak the

    rah-e-tarik-e-zalalat mein pae KHalq-e-KHuda

    sham-sa mazhar-e-anwar guru-nanak the

    haq-parasti ke tasawwur se hamesha KHush the

    kufr aur shirk se bezar guru-nanak the

    tarbiyat KHalq ki karte the baDi koshish se

    us ke har haal mein gham-KHwar guru-nanak the

    abr-e-naisan ka KHawas un ki nasihat mein tha

    lab-e-shirin se guhar-bar guru-nanak the

    wasil-e-mazil-e-maqsud na hote kyunkar

    faras-e-ishq pe aswar guru-nanak the

    rah-e-haq mein na the paband kisi mazhab ke

    tarik-e-subah-o-zunnar guru-nanak the

    KHwab-e-ghaflat se wo bedar kiya karte the

    waizon mein baDe hoshiyar guru-nanak the

    madh-KHwan us ka tu ho 'barq' ba-sad ijz-o-niyaz

    KHaksaron ke madad-gar guru-nanak the

    Source:

    Jalwa-e-Barq (Pg. e-152 p-150)

    • Author: Shyam Sunder Lal Barq
      • Edition: 1929
      • Publisher: Misbah Press, Sitapur
      • Year of Publication: 1929

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now