aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

logon ka kumba

Zahid Dar

logon ka kumba

Zahid Dar

MORE BYZahid Dar

    puure kumbe se nafrat pyaar karo

    ek se nafrat ek se pyaar ye kyā hai

    log sabhī ik jaise haiñ

    jāhil haiñ to sab jāhil haiñ aalim haiñ to sab ke sab

    zulm kisī ik shaḳhs se to maḳhsūs nahīñ hai

    jis ko tum zālim kahte ho vo bhī

    bachpan meñ ma.asūm thā ḳhushbū mānind zarar se ḳhālī

    aur jis ko vidvān ho kahte us zehn

    kal tak chaTTe kāġhaz jaisā nirmal aur be-dāġh thā

    zālim ne us kumbe meñ zulm shikshā paa.ī

    aur vidvān ne bhī ye ulTī sīdhī bāteñ

    logoñ se sun kar zehn meñ bhar rakhī haiñ

    ye logoñ kumba

    ek mahān daraḳht hai ham sab patte haiñ

    hare sūkhe mīThe haiñ kaḌve

    apnā kyā hai

    peḌ ras ham sab meñ yaksāñ jārī-o-sārī hai

    pure kumbe se nafrat ya pyar karo

    ek se nafrat ek se pyar ye kya hai

    log sabhi ek jaise hain

    jahil hain to sab jahil hain aalim hain to sab ke sab

    zulm kisi ek shaKHs se to maKHsus nahin hai

    jis ko tum zalim kahte ho wo bhi

    bachpan mein masum tha KHushbu ki manind zarar se KHali

    aur jis ko widwan ho kahte us ka zehn

    kal tak chaTTe kaghaz jaisa nirmal aur be-dagh tha

    zalim ne us kumbe hi mein zulm ki shiksha pai

    aur widwan ne bhi ye ulTi sidhi baaten

    logon hi se sun kar zehn mein bhar rakhi hain

    ye logon ka kumba

    ek mahan daraKHt hai hum sab patte hain

    hare ya sukhe miThe hain ya kaDwe

    apna kya hai

    peD ka ras hum sab mein yaksan jari-o-sari hai

    Source:

    tanhaa.ii (Pg. 245)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now