Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

9

MORE BYZeeshan Sahil

    ik umr dil ke paas rahā vo magar kahīñ

    jab bhī milā to jaise ki kuchh jāntā nahīñ

    āñkhoñ meñ ik ajiib shanāsā.ī thī magar

    gahrā.iyoñ meñ dil pazīrā.ī thī magar

    dekhā kuchh is tarah se ki pahchāntā nahīñ

    kuchh ham se āshnā.ī hai ye māntā nahīñ

    maiñ ne kahā ki tum se mulāqāt hai bahut

    har roz rasm-o-rāh-e-mudārāt hai bahut

    kahne lagā ki koī ḳhalish hai nigāh meñ

    haa.il hai fāsla koī barsoñ raah meñ

    mahv-e-safar haiñ aur abhī ham-safar nahīñ

    hamrāh dil ke dil hai magar rahguzar nahīñ

    ḳhvāboñ meñ sub.h-o-shām mile bhī agar to kyā

    do-chār phuul dil meñ khile bhī agar to kyā

    jo kuchh dil-o-nigāh ne chāhā vo ho gayā

    ye sochā dil ne aur nigāhoñ meñ kho gayā

    ek umr dil ke pas raha wo magar kahin

    jab bhi mila to jaise ki kuchh jaanta nahin

    aankhon mein ek ajib shanasai thi magar

    gahraiyon mein dil ki pazirai thi magar

    dekha kuchh is tarah se ki pahchanta nahin

    kuchh hum se aashnai hai ye manta nahin

    main ne kaha ki tum se mulaqat hai bahut

    har roz rasm-o-rah-e-mudaraat hai bahut

    kahne laga ki koi KHalish hai nigah mein

    hail hai fasla koi barson ka rah mein

    mahw-e-safar hain aur abhi ham-safar nahin

    hamrah dil ke dil hai magar rahguzar nahin

    KHwabon mein subh-o-sham mile bhi agar to kya

    do-chaar phul dil mein khile bhi agar to kya

    jo kuchh dil-o-nigah ne chaha wo ho gaya

    ye socha dil ne aur nigahon mein kho gaya

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 586)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now