Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu-e-hayat

Waqar Khan

aarzu-e-hayat

Waqar Khan

MORE BYWaqar Khan

    ai ārzū-e-hayāt

    ab baar jaan bhī chhoḌ

    tujhe ḳhabar nahīñ kaise din guzarte haiñ

    ai ārzū-e-nafas

    ab muaaf kar mujh ko

    tujhe ye ilm nahīñ kitnī mahñgī haiñ sāñseñ

    ki to lafz hai

    bas ek lafz adh-murda

    tire ḳhamīr miTTī rañg laal gulāl

    sulagtī aag ne tujh ko janā hai aur ḳhud

    ik aisī bāñjh hai jis se koī ummīd nahīñ

    aisā zahr hai jo ke koī bhī insāñ

    ḳhud apne aap ko koī ḳhudā samajhtā hai

    ik shajar hai jo bas dhuup bāñTtā rahe

    ik safar hai jo sadiyoñ se baḌhtā jaatā hai

    aisā dam hai jo murdoñ ko zinda kartā hai

    vo karam hai jo har ik karīm māñgtā hai

    vo talab hai jise ḳhud ḳhudā bhī pūjte haiñ

    vo tarab hai jise ḳhud ḳhushī bhī māñgtī hai

    mujh ko jitne bhī ab shoḳh rañg dikhlā.e

    chāhe zindagī ko mere paas le aa.e

    vaqār ab tire qadmoñ meñ girne vaalā nahīñ

    ai ārzū-e-hayāt

    ab maiñ pahle vaalā nahīñ

    ai aarzu-e-hayat

    ab ki bar jaan bhi chhoD

    tujhe KHabar hi nahin kaise din guzarte hain

    ai aarzu-e-nafas

    ab muaf kar mujh ko

    tujhe ye ilm nahin kitni mahngi hain sansen

    ki tu to lafz hai

    bas ek lafz adh-murda

    tere KHamir ki miTTi ka rang lal gulal

    sulagti aag ne tujh ko jana hai aur tu KHud

    ek aisi banjh hai jis se koi ummid nahin

    tu aisa zahr hai jo pi ke koi bhi insan

    KHud apne aap ko koi KHuda samajhta hai

    tu ek shajar hai jo bas dhup banTta hi rahe

    tu ek safar hai jo sadiyon se baDhta jata hai

    tu aisa dam hai jo murdon ko zinda karta hai

    tu wo karam hai jo har ek karim mangta hai

    tu wo talab hai jise KHud KHuda bhi pujte hain

    tu wo tarab hai jise KHud KHushi bhi mangti hai

    tu mujh ko jitne bhi ab shoKH rang dikhlae

    tu chahe zindagi ko mere pas le aae

    waqar ab tere qadmon mein girne wala nahin

    ai aarzu-e-hayat

    ab main pahle wala nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now