Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa ja

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    merī soī huī qismat ko jagāne aa

    aa aa mirī bigḌī ko banāne aa

    kho gayā aql rāhoñ meñ mirā ahd-e-shabāb

    az-sar-e-nau mujhe dīvāna banāne aa

    sard lāsha hai mirā ishq se ḳhālī siina

    ik nayā soz na.ī aag lagāne aa

    baaġh meñ phuul hai pazhmurda-o-pāmāl sabhī

    har ravish par na.e phuul khilāne aa

    kaan ab pak ga.e sun sun ke purāne naġhme

    an-sune giit na.e raag sunāne aa

    saḳht hamvār hai yaksāñ hai mirī rāh-e-hayāt

    koī sahrā koī vīrāna dikhāne aa

    zāhid-e-ḳhushk rahā ḳhauf-e-gunah se lekin

    ab mohabbat gunahgār banāne aa

    kaif ban mire dil merī nazroñ surūr

    misl-e-bāda mirī rag rag meñ samāne aa

    manzil-e-zīst kidhar hai nahīñ ma.alūm 'habīb'

    thaam kar haath mujhe raah dikhāne aa

    meri soi hui qismat ko jagane aa ja

    aa ja aa ja meri bigDi ko banane aa ja

    kho gaya aql ki rahon mein mera ahd-e-shabab

    az-sar-e-nau mujhe diwana banane aa ja

    sard lasha hai mera ishq se KHali sina

    ek naya soz nai aag lagane aa ja

    bagh mein phul hai pazhmurda-o-pamal sabhi

    har rawish par tu nae phul khilane aa ja

    kan ab pak gae sun sun ke purane naghme

    an-sune git nae rag sunane aa ja

    saKHt hamwar hai yaksan hai meri rah-e-hayat

    koi sahra koi virana dikhane aa ja

    zahid-e-KHushk raha KHauf-e-gunah se lekin

    ab mohabbat ka gunahgar banane aa ja

    kaif ban ja mere dil ka meri nazron ka surur

    misl-e-baada meri rag rag mein samane aa ja

    manzil-e-zist kidhar hai nahin malum 'habib'

    tham kar hath mujhe rah dikhane aa ja

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 90)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now