Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadam-e-nau ka tarana-e-safar

Jameel Mazhari

aadam-e-nau ka tarana-e-safar

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    fareb khaa.e haiñ rañg-o-bū ke sarāb ko pūjtā rahā huuñ

    magar natā.ej raushnī meñ ḳhud apnī manzil pe aa rahā huuñ

    jo dil gahrā.iyoñ meñ sub.h zuhūr-e-ādam se so rahī thiiñ

    maiñ apnī fitrat un ḳhudā-dād quvvatoñ ko jagā rahā huuñ

    maiñ saañs letā huuñ har qadam par ki bojh bhārī hai zindagī

    Thahar zarā garm-rau zamāne ki maiñ tire saath aa rahā huuñ

    jahāz-rānoñ ko bhī ta.ajjub hai mere is azm-e-mutma.in par

    ki āñdhiyāñ chal rahī haiñ tund aur maiñ apnī kashtī chalā rahā huuñ

    tilism-e-fitrat bhī muskurātā hai merī afsūñ-tarāziyoñ par

    bahut se jaadū jagā chukā huuñ bahut se jaadū jagā rahā huuñ

    ye mehr-e-tābāñ se koī kah de ki apnī kirnoñ ko gin ke rakh le

    maiñ apne sahrā ke zarre zarre ko ḳhud chamaknā sikhā rahā huuñ

    mirā taḳhayyul mire irāde kareñge fitrat pe hukmarānī

    jahāñ farishtoñ ke par haiñ larzāñ maiñ us bulandī pe rahā huuñ

    ye vo gharauñde haiñ jin pe ik din paḌegī buniyād-e-qasr-e-jannat

    na samjheñ sukkān-e-bazm-e-ismat ki maiñ gharauñde banā rahā huuñ

    ye nāz-parvardagān-e-sāhil Dareñ Dareñ mirī garm rau se

    ki maiñ samundar tund maujoñ ko rauñdtā paas aa rahā huuñ

    fareb khae hain rang-o-bu ke sarab ko pujta raha hun

    magar nataej ki raushni mein KHud apni manzil pe aa raha hun

    jo dil ki gahraiyon mein subh zuhur-e-adam se so rahi thin

    main apni fitrat ki un KHuda-dad quwwaton ko jaga raha hun

    main sans leta hun har qadam par ki bojh bhaari hai zindagi ka

    Thahar zara garm-rau zamane ki main tere sath aa raha hun

    jahaz-ranon ko bhi tajjub hai mere is azm-e-mutmain par

    ki aandhiyan chal rahi hain tund aur main apni kashti chala raha hun

    tilism-e-fitrat bhi muskuraata hai meri afsun-taraaziyon par

    bahut se jadu jaga chuka hun bahut se jadu jaga raha hun

    ye mehr-e-taban se koi kah de ki apni kirnon ko gin ke rakh le

    main apne sahra ke zarre zarre ko KHud chamakna sikha raha hun

    mera taKHayyul mere irade karenge fitrat pe hukmarani

    jahan farishton ke par hain larzan main us bulandi pe ja raha hun

    ye wo gharaunde hain jin pe ek din paDegi buniyaad-e-qasr-e-jannat

    na samjhen sukkan-e-bazm-e-ismat ki main gharaunde bana raha hun

    ye naz-parwardagan-e-sahil Daren Daren meri garm rau se

    ki main samundar ki tund maujon ko raundta pas aa raha hun

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Jameel Mazhari (Pg. 121)

    • Author: Kausar Mazhari
      • Edition: 2011
      • Publisher: Sahitya Academy
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now