aadhe sayyare par
aadhā peḌ ḳhizāñ kī zad meñ jis par phuul na paat
aadhe sayyāre par sūraj aadhe par barsāt
aadhe favvāre par paanī aur aadhe meñ ret
sachche haath darāñtī vaale kaaT rahe haiñ khet
achchhī fasl huī hai ab ke mālik kā ehsān
is āñgan meñ aao sāthī mil kar kūTeñ dhaan
ek taraf pītal kī ghanTī ek taraf dīvār
is ujlī āvāz ke ruḳh par khole rakkho dvaar
ḳhālī haath nahīñ lauTegā ai mere pātāl
kān-kanoñ kā Tokrā ho yā māhī-gīr kā jaal
aadha peD KHizan ki zad mein jis par phul na pat
aadhe sayyare par suraj aadhe par barsat
aadhe fawware par pani aur aadhe mein ret
sachche hath daranti wale kaT rahe hain khet
achchhi fasl hui hai ab ke malik ka ehsan
is aangan mein aao sathi mil kar kuTen dhan
ek taraf pital ki ghanTi ek taraf diwar
is ujli aawaz ke ruKH par khole rakkho dwar
KHali hath nahin lauTega ai mere patal
kan-kanon ka Tokra ho ya mahi-gir ka jal
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 96)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.