Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadmi

MORE BYMustafa Zaidi

    mujh ko mahsūr kiyā hai mirī āgāhī ne

    maiñ na āfāq pāband na dīvāroñ

    maiñ na shabnam parastār na añgāroñ

    na ḳhalāoñ talabgār na sayyāroñ

    zindagī dhuup maidān banī baiThī hai

    apnā saaya bhī gurezāñ, tirā dāmāñ bhī ḳhafā

    raat ruup bhī be-zār, charāġhāñ bhī ḳhafā

    sub.h-e-hairāñ bhī ḳhafā, shām-e-harīfāñ bhī ḳhafā

    ḳhud ko dekhā hai to is shakl se ḳhauf aatā hai

    ek mub.ham sadā gumbad-e-aflāk meñ hai

    tār-e-be-māya kisī dāman-e-sad-chāk meñ hai

    ek chhoTī kiran mahr ke idrāk meñ hai

    jaag ai ruuh azmat ki marī ḳhaak meñ hai

    mujh ko mahsur kiya hai meri aagahi ne

    main na aafaq ka paband na diwaron ka

    main na shabnam ka parastar na angaron ka

    na KHalaon ka talabgar na sayyaron ka

    zindagi dhup ka maidan bani baiThi hai

    apna saya bhi gurezan, tera daman bhi KHafa

    raat ka rup bhi be-zar, charaghan bhi KHafa

    subh-e-hairan bhi KHafa, sham-e-harifan bhi KHafa

    KHud ko dekha hai to is shakl se KHauf aata hai

    ek mubham si sada gumbad-e-aflak mein hai

    tar-e-be-maya kisi daman-e-sad-chaak mein hai

    ek chhoTi si kiran mahr ke idrak mein hai

    jag ai ruh ki azmat ki mari KHak mein hai

    Source:

    Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 17)

    • Author: Mustafa Zaidi
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now