Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah-e-na-tamam

Shahid Sagri

aah-e-na-tamam

Shahid Sagri

MORE BYShahid Sagri

    shām-e-ġham uf zindagī thī merī ghabrā.ī huī

    merī hastī par fazā-e-yās thī chhā.ī huī

    baḌh rahī thī ek bechainī dil-e-nāshād meñ

    bah rahe the ashk āñkhoñ se kisī yaad meñ

    yaad aatā thā koī rah rah ke mujh ko bār-bār

    ho rahe the jis se ruḳhsat hijr meñ sabr-o-qarār

    merī hālat koī us dam dekhne vaalā na thā

    charḳh par bikhre hue afsurda tāroñ ke sivā

    yaad aatā rahā thā mujh ko koī zar-nigār

    jis pe hotī hai tasadduq sehn-e-gulshan bahār

    lamha lamha maiñ liye jaatā thā us ke naam ko

    jis se hotī thī tasallī is dil-e-nākām ko

    kyā kahūñ 'shāhid' kisī se thī ye aisī ġham shaam

    dil meñ soz-e-nā-mukammal lab pe āh-e-nā-tamām

    sham-e-gham uf zindagi thi meri ghabrai hui

    meri hasti par faza-e-yas thi chhai hui

    baDh rahi thi ek bechaini dil-e-nashad mein

    bah rahe the ashk aankhon se kisi ki yaad mein

    yaad aata tha koi rah rah ke mujh ko bar-bar

    ho rahe the jis se ruKHsat hijr mein sabr-o-qarar

    meri haalat koi us dam dekhne wala na tha

    charKH par bikhre hue afsurda taron ke siwa

    yaad aata ja raha tha mujh ko koi zar-nigar

    jis pe hoti hai tasadduq sehn-e-gulshan ki bahaar

    lamha lamha main liye jata tha us ke nam ko

    jis se hoti thi tasalli is dil-e-nakaam ko

    kya kahun 'shahid' kisi se thi ye aisi gham ki sham

    dil mein soz-e-na-mukammal lab pe aah-e-na-tamam

    Source:

    Sadiyon Ka Karb (Pg. 52)

    • Author: Shahid Sagri
      • Publisher: Nishat Offset Press, Faizabad
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now