Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aahan ko bhi aaKHir zang lagta hai

Qamar Jahan Naseer

aahan ko bhi aaKHir zang lagta hai

Qamar Jahan Naseer

MORE BYQamar Jahan Naseer

    irāda āhanī thā ye ki tum ko bhuul jā.eñge

    tumhārā ḳhūb-rū paikar

    khanakte qahqahe āvāz dilkash

    zer-o-bam lahje vo zīrak nigāheñ

    anā-parvar apollo ho koī maġhrūr yūnānī

    vo āñkheñ be-ta.assur jo har ik jazba chhupā lene māhir thiiñ

    bahut gambhīr ḳhāmoshī ko oḌhe

    yuuñ ki jaise kurra-e-arzī pe koī devtā ġhalatī se aa jaa.e

    magar merā vazīfa thā

    faqat rāheñ tumhārī dekhte rahnā

    tumheñ dekhā to ye jaanā

    faqat ik shaḳhs ehsās kaise dil ke sahrā meñ

    gul-e-lāla ke khil uThne zāmin hai

    ye āñkheñ jugnūoñ diip āḳhir kaise bantī haiñ

    shafaq gulgūñ kisī aariz pe kaise phail jaatī hai

    ki dil dhaḌkaneñ kaise sabā-raftār hotī haiñ

    vo har ik baat meñ tum se merā mashvara lenā

    yuuñ jaise mamlikat meñ rabb-e-ka.aba

    faqat tum davā saare maraz ho

    yuuñ jaise rāh-gum-karda musāfir ke safar meñ rahnumā.ī ko qutub-tāra koī ubhre

    kabhī mere savāloñ himāqat par

    vo mub.ham muskurāhaT zer-e-lab jaise

    shab-e-tārīk meñ bijlī koī

    pal-bhar ko chhab apnī dikhā jaa.e

    tumhārī ye karam-farmā.iyāñ ma.amūl thiiñ jin ko

    mohabbat ke ufuq par jāvedāñ karne ḳhvāhish ik jasārat thī

    ḳhatā sarzad huī ham se

    irāda āhanī thā ye ki tum ko bhuul jā.eñge

    magar ye bhuul baiThe ham

    ki aahan ko bhī āḳhir zang lagtā hai

    irada aahani tha ye ki tum ko bhul jaenge

    tumhaara KHub-ru paikar

    khanakte qahqahe aawaz dilkash

    zer-o-bam lahje ka wo zirak nigahen

    ana-parwar apollo ho koi maghrur yunani

    wo aankhen be-tassur jo har ek jazba chhupa lene ki mahir thin

    bahut gambhir KHamoshi ko oDhe

    yun ki jaise kurra-e-arzi pe koi dewta ghalati se aa jae

    magar mera wazifa tha

    faqat rahen tumhaari dekhte rahna

    tumhein dekha to ye jaana

    faqat ek shaKHs ka ehsas kaise dil ke sahra mein

    gul-e-lala ke khil uThne ka zamin hai

    ye aankhen jugnuon ka dip aaKHir kaise banti hain

    shafaq gulgun kisi aariz pe kaise phail jati hai

    ki dil ki dhaDkanen kaise saba-raftar hoti hain

    wo har ek baat mein tum se hi mera mashwara lena

    yun jaise mamlikat mein rabb-e-kaba ki

    faqat tum hi dawa sare maraz ki ho

    yun jaise rah-gum-karda musafir ke safar mein rahnumai ko qutub-tara koi ubhre

    kabhi mere sawalon ki himaqat par

    wo mubham muskurahaT zer-e-lab jaise

    shab-e-tarik mein bijli koi

    pal-bhar ko chhab apni dikha jae

    tumhaari ye karam-farmaiyan mamul thin jin ko

    mohabbat ke ufuq par jawedan karne ki KHwahish ek jasarat thi

    KHata sarzad hui hum se

    irada aahani tha ye ki tum ko bhul jaenge

    magar ye bhul baiThe hum

    ki aahan ko bhi aaKHir zang lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now