aaina-KHana
safar kī raat ta'āqub meñ hai sag-e-māmūr
nishān-e-pā se surāġh-e-badan nikālegā
madad karegā 'adū kī nikal ke abr se chāñd
dikhā.egā ki sabhī hast-o-būd kī rāheñ
qadam qadam pe unhī jangaloñ se miltī haiñ
jahāñ pe DhūñDī hai mafrūr qaidiyoñ ne panāh
ufuq uThā.eñge phir se koī na.ī dīvār
buneñge ġhaul-e-bayābān baaḌ lohe kī
havā kahegī ki ḳhud-yāftī kī manzil par
fasīl-e-zāt se mohkam koī fasīl nahīñ
safar ki raat ta'aqub mein hai sag-e-mamur
nishan-e-pa se suragh-e-badan nikalega
madad karega 'adu ki nikal ke abr se chand
dikhaega ki sabhi hast-o-bud ki rahen
qadam qadam pe unhi jangalon se milti hain
jahan pe DhunDi hai mafrur qaidiyon ne panah
ufuq uThaenge phir se koi nai diwar
bunenge ghaul-e-bayaban baD lohe ki
hawa kahegi ki KHud-yafti ki manzil par
fasil-e-zat se mohkam koi fasil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.