Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina raushan KHat-e-zangar se

Akhtar Husain Jafri

aaina raushan KHat-e-zangar se

Akhtar Husain Jafri

MORE BYAkhtar Husain Jafri

    chāñd ke saa.e meñ lau detā badan

    TimTimāte hoñT

    mīThī raushnī

    gholnā pyāloñ meñ amrit gholnā

    kholnā ilzām saare kholnā jo badan milte samay khulte nahīñ

    sham.a jalne

    dostī par sach utarne ghaḌī aane ko hai

    dil meñ jitnā khoT thā sab paḌh liyā

    us aañkh ne

    aañkh ne apnī qasam toḌī nahīñ

    dastaḳhat mere bhī hote iḳhtitām-e-satr par

    us ne kāġhaz par jagah chhoḌī nahīñ

    aa.ina raushan ḳhat-e-zañgār se

    dard-e-rusvā se rihā.ī sazā thoḌī nahīñ

    chand ke sae mein lau deta badan

    TimTimate honT

    miThi raushni

    gholna pyalon mein amrit gholna

    kholna ilzam sare kholna jo badan milte samay khulte nahin

    shama jalne

    dosti par sach utarne ki ghaDi aane ko hai

    dil mein jitna khoT tha sab paDh liya

    us aankh ne

    aankh ne apni qasam toDi nahin

    dastaKHat mere bhi hote iKHtitam-e-satr par

    us ne kaghaz par jagah chhoDi nahin

    aaina raushan KHat-e-zangar se

    dard-e-ruswa se rihai ki saza thoDi nahin

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 380)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now