aaj bhi

Asrarul Haq Majaz

aaj bhi

Asrarul Haq Majaz

MORE BY Asrarul Haq Majaz

  maiñ huuñ 'majāz' aaj bhī zamzama-e-sanj-o-naġhma-ḳhvāñ

  shā.ir-e-mahfil-e-vafā mutrib-e-bazm-e-dil-barāñ

  aaj bhī ḳhār-zār-e-ġham ḳhuld-e-barīñ mire liye

  aaj bhī rah-guzār-e-ishq mere liye hai kahkashāñ

  aaj bhī rahā huuñ maiñ sāz-e-junūñ liye hue

  soz-e-nihāñ se aaj bhī rūh-e-tapāñ hai dil-tapāñ

  aaj bhī zindagī mirī ġharq-e-sharāb-e-tund-o-tez

  aaj bhī haath meñ mire jām-e-sharāb-e-arġhavāñ

  aaj bhī hai rachī huī aaj bhī hai basī huī

  mere nafas meñ ḳhuld nuz.hat-o-nik.hat-e-javāñ

  aaj bhī nukta-chīñ huuñ maiñ ḳhalvatiyān-e-ḳhās

  ḳhalvatiyān-e-ḳhās aaj bhī huuñ mizāj-dāñ

  aaj bhī ashk-e-ḳhūñ mirā qashqa jabīn-e-nāz

  aaj bhī ḳhāk-e-dil mirī surma-e-chashm-e-gul-ruḳhāñ

  aaj bhī dil ko hai mire daulat-e-āgahī nasīb

  aaj bhī hai nazar mirī arz-o-samāñ rāz-dāñ

  aaj bhī hai junūñ mirā dair-o-haram pe ḳhanda-zan

  aaj bhī mujh se bad-havās dair-o-haram ke pāsbāñ

  aaj bhī saaz se mire garmī-e-bazm-e-sar-kashī

  aaj bhī ātish-e-suḳhan shoa.la-fishāñ sharar-fishāñ

  aaj bhī hai likhī huī surḳh hurūf meñ 'majāz'

  daftar-e-shahr-e-yār meñ mere junūñ dāstāñ

  main hun 'majaz' aaj bhi zamzama-e-sanj-o-naghma-KHwan

  shair-e-mahfil-e-wafa mutrib-e-bazm-e-dil-baran

  aaj bhi KHar-zar-e-gham KHuld-e-barin mere liye

  aaj bhi rah-guzar-e-ishq mere liye hai kahkashan

  aaj bhi ga raha hun main saz-e-junun liye hue

  soz-e-nihan se aaj bhi ruh-e-tapan hai dil-tapan

  aaj bhi zindagi meri gharq-e-sharab-e-tund-o-tez

  aaj bhi hath mein mere jam-e-sharab-e-arghawan

  aaj bhi hai rachi hui aaj bhi hai basi hui

  mere nafas mein KHuld ki nuzhat-o-nikhat-e-jawan

  aaj bhi nukta-chin hun main KHalwatiyan-e-KHas ka

  KHalwatiyan-e-KHas ka aaj bhi hun mizaj-dan

  aaj bhi ashk-e-KHun mera qashqa jabin-e-naz ka

  aaj bhi KHak-e-dil meri surma-e-chashm-e-gul-ruKHan

  aaj bhi dil ko hai mere daulat-e-agahi nasib

  aaj bhi hai nazar meri arz-o-saman ki raaz-dan

  aaj bhi hai junun mera dair-o-haram pe KHanda-zan

  aaj bhi mujh se bad-hawas dair-o-haram ke pasban

  aaj bhi saz se mere garmi-e-bazm-e-sar-kashi

  aaj bhi aatish-e-suKHan shoala-fishan sharar-fishan

  aaj bhi hai likhi hui surKH huruf mein 'majaz'

  daftar-e-shahr-e-yar mein mere junun ki dastan

  Source:

  • Book : Kullyat-e-majaz (Pg. 160)
  • Author : Asrarul Haque Majaz
  • Publication : Kitabi Duniya (2006)
  • Edition : 2006
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY