Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj chali hai hawa

Aditya Pant Naaqid

aaj chali hai hawa

Aditya Pant Naaqid

MORE BYAditya Pant Naaqid

    aaj chalī hai havā

    muddatoñ ke ba.ad

    hayāt se ta.alluq thā jis

    har vo shai taras ga.ī

    ki gosh ko tanaffus

    sargam nasīb ho

    sunā.ī de sarsarātī ek āvāz

    koī sargoshī koī dastak ban kar

    aatī jaatī jo mere qarīb ho

    dast-e-māzī se joḌ apne baazū

    yād-e-ayyām ke āġhosh meñ

    gum-gashta dīda-e-tar chal paḌā

    hai ek talāsh meñ

    to āñkhoñ namī se chhuTkārā mile

    phir dil umīdeñ bar aa.eñ

    lekin ye kyā ki

    is nā-murād khoj meñ

    āñkheñ dar-ba-dar bhaTaktī huī

    ḳhālī haath lauT kar

    thakī-hārī ghar aa.eñ

    tabhī chalne lagī havā mere baaġh meñ

    daraḳhtoñ ke patte larazne lage

    guloñ ke hasīñ laboñ par

    tabassum ugā

    aur ek nannhī lau jagī charāġh meñ

    khulī havā meñ saañs lene ḳhvāhish

    dil-e-nā-sāz meñ armāñ jagā ga.ī

    ghuTan se tañg aa kar maiñ ne

    phir kholī jo zanjīr-e-dar

    kambaḳht havā sozish

    chashm-e-nam sukhā ga.ī

    aur charāġhoñ par raqs karte

    sharāroñ ko bujhā ga.ī

    aaj chali hai hawa

    muddaton ke baad

    hayat se talluq tha jis ka

    har wo shai taras gai

    ki gosh ko tanaffus ki

    sargam nasib ho

    sunai de sarsaraati si ek aawaz

    koi sargoshi koi dastak ban kar

    aati jati jo mere qarib ho

    dast-e-mazi se joD apne bazu

    yaad-e-ayyam ke aaghosh mein

    gum-gashta dida-e-tar chal paDa

    hai ek talash mein

    ya to aankhon ki nami se chhuTkara mile

    ya phir dil ki umiden bar aaen

    lekin ye kya ki

    is na-murad khoj mein

    aankhen dar-ba-dar bhaTakti hui

    KHali hath lauT kar

    thaki-haari ghar aaen

    tabhi chalne lagi hawa mere bagh mein

    daraKHton ke patte larazne lage

    gulon ke hasin labon par

    tabassum uga

    aur ek nannhi si lau jagi charagh mein

    khuli hawa mein sans lene ki KHwahish

    dil-e-na-saz mein arman jaga gai

    ghuTan se tang aa kar main ne

    phir kholi jo zanjir-e-dar

    kambaKHt hawa ki sozish

    chashm-e-nam sukha gai

    aur charaghon par raqs karte

    shararon ko bujha gai

    Source:

    Khwaahish-e-Parwaaz Urge to Fly (Pg. 55)

    • Author: Aditya Pant Naaqid
      • Edition: 2014
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now