Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj-kal

Masoom Sharqi

aaj-kal

Masoom Sharqi

MORE BYMasoom Sharqi

    harf-e-haq dil se zabāñ tak rahā huuñ āj-kal

    qissa-e-dār-o-rasan dohrā rahā huuñ āj-kal

    halqa-e-zulf-e-sanam tīrgī se duur huuñ

    zindagī ke pech-o-ḳham suljhā rahā huuñ āj-kal

    shāḳh-e-gul par ab na pāoge mujhe tum naġhma-ḳhvāñ

    āñdhiyoñ ke pālne meñ rahā huuñ āj-kal

    ho rahegī qa.ar-e-dariyā haqīqat āshkār

    mauj-o-tūfāñ ke thapeḌe khā rahā huuñ āj-kal

    apnī duniyā-e-tag-o-dau apnī kisht-e-zīst par

    abr-e-rahmat ban ke maiñ ḳhud chhā rahā huuñ āj-kal

    mere jabr-o-qahr hamd-o-sanā ke baa'd ab

    apne istiqlāl ke gun rahā huuñ āj-kal

    vādī-e-ishq-o-junūñ meñ rah-ravān-e-shauq ko

    ma.anī-e-harf-e-vafā samjhā rahā huuñ āj-kal

    taaki anvār-e-suḳhan se jagmagā jaa.e jahāñ

    sham.a mānind jaltā rahā huuñ āj-kal

    ab ki yārān-e-vatan diid imkāñ nahīñ

    'ashk' ġhurbat meñ sukūñ rahā huuñ āj-kal

    harf-e-haq dil se zaban tak la raha hun aaj-kal

    qissa-e-dar-o-rasan dohra raha hun aaj-kal

    halqa-e-zulf-e-sanam ki tirgi se dur hun

    zindagi ke pech-o-KHam suljha raha hun aaj-kal

    shaKH-e-gul par ab na paoge mujhe tum naghma-KHwan

    aandhiyon ke palne mein ga raha hun aaj-kal

    ho rahegi qar-e-dariya ki haqiqat aashkar

    mauj-o-tufan ke thapeDe kha raha hun aaj-kal

    apni duniya-e-tag-o-dau apni kisht-e-zist par

    abr-e-rahmat ban ke main KHud chha raha hun aaj-kal

    mere jabr-o-qahr ki hamd-o-sana ke ba'd ab

    apne istiqlal ke gun ga raha hun aaj-kal

    wadi-e-ishq-o-junun mein rah-rawan-e-shauq ko

    mani-e-harf-e-wafa samjha raha hun aaj-kal

    taki anwar-e-suKHan se jagmaga jae jahan

    shama ki manind jalta ja raha hun aaj-kal

    ab ki yaran-e-watan ki did ka imkan nahin

    'ashk' ghurbat mein sukun sa pa raha hun aaj-kal

    Source:

    Nazeer-e-Saani: Ashk Amritsary (Pg. 391)

    • Author: Masoom Sharqi
      • Publisher: Masoom Sharqi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now