Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi

Parveen Shakir

aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    aaj shab to kisī taur guzar jā.egī

    raat gahrī hai magar chāñd chamaktā hai abhī

    mere māthe pe tirā pyaar damaktā hai abhī

    merī sāñsoñ meñ tirā lams mahaktā hai abhī

    mere siine meñ tirā naam dhaḌaktā hai abhī

    ziist karne ko mire paas bahut kuchh hai abhī

    terī āvāz jaadū hai abhī mere liye

    tere malbūs ḳhushbū hai abhī mere liye

    terī bāñheñ tirā pahlū hai abhī mere liye

    sab se baḌh kar mirī jaañ hai abhī mere liye

    ziist karne ko mire paas bahut kuchh hai abhī

    aaj shab to kisī taur guzar jā.egī!

    aaj ke ba.ad magar rañg-e-vafā kyā hogā

    ishq hairāñ hai sar-e-shahr-e-sabā kyā hogā

    mere qātil tirā andāz-e-jafā kyā hogā!

    aaj shab to bahut kuchh hai magar kal ke liye

    ek andesha-e-be-nām hai aur kuchh bhī nahīñ

    dekhnā ye hai ki kal tujh se mulāqāt ke ba.ad

    rañg-e-ummīd khilegā ki bikhar jā.egā

    vaqt parvāz karegā ki Thahar jā.egā

    jiit ho jā.egī khel bigaḌ jā.egā

    ḳhvāb shahr rahegā ki ujaḌ jā.egā

    aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi

    raat gahri hai magar chand chamakta hai abhi

    mere mathe pe tera pyar damakta hai abhi

    meri sanson mein tera lams mahakta hai abhi

    mere sine mein tera nam dhaDakta hai abhi

    zist karne ko mere pas bahut kuchh hai abhi

    teri aawaz ka jadu hai abhi mere liye

    tere malbus ki KHushbu hai abhi mere liye

    teri banhen tera pahlu hai abhi mere liye

    sab se baDh kar meri jaan tu hai abhi mere liye

    zist karne ko mere pas bahut kuchh hai abhi

    aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi!

    aaj ke baad magar rang-e-wafa kya hoga

    ishq hairan hai sar-e-shahr-e-saba kya hoga

    mere qatil tera andaz-e-jafa kya hoga!

    aaj ki shab to bahut kuchh hai magar kal ke liye

    ek andesha-e-be-nam hai aur kuchh bhi nahin

    dekhna ye hai ki kal tujh se mulaqat ke baad

    rang-e-ummid khilega ki bikhar jaega

    waqt parwaz karega ki Thahar jaega

    jit ho jaegi ya khel bigaD jaega

    KHwab ka shahr rahega ki ujaD jaega

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source:

    kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 105)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now