aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ki taza KHabar

Sarpat Lakhnavi

aaj ki taza KHabar

Sarpat Lakhnavi

MORE BYSarpat Lakhnavi

    Interesting Fact

    (February 1968)

    aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar

    koī be-par nahīñ koī be-sar nahīñ hai ye par taaza ḳhabar

    aaj ik taaza ḳhabar aa.ī hai ambāle se

    laash ik hāthī niklī hai kisī naale se

    doctor dekh ke bolā ye use aale se

    ye marā zahr se qatl huā bhāle se

    mar gayā bhuuk meñ ye khā ke kahīñ kachchī maTar

    aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar

    ik kabāḌī se mujhe mil gayā jaadū charāġh

    rāt-din ḳharch kiyā kartā huuñ is par maiñ dimāġh

    sochtā huuñ ki musībat ko mile dil ko farāġh

    lekin ab tak na milā koī ḳhazāne surāġh

    log kahte haiñ amal meñ hai tire dam kasar

    aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar

    bamba.ī bhāgā thā ik laḌkā jo apne ghar se

    jeb ḳhālī thī na the us meñ na.e das paise

    shakl T-T yakāyak jo nazar aa.ī use

    āḳhirash kuud paḌā chaltī huī gaaḌī se

    be-ticket ḳhatm huā manzil-e-hastī safar

    aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar aaj taaza ḳhabar

    aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar

    koi be-par ki nahin koi be-sar ki nahin hai ye par taza KHabar

    aaj ek taza KHabar aai hai ambaale se

    lash ek hathi ki nikli hai kisi nale se

    doctor dekh ke bola ye use aale se

    ye mara zahr se na qatl hua bhaale se

    mar gaya bhuk mein ye kha ke kahin kachchi maTar

    aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar

    ek kabaDi se mujhe mil gaya jadu ka charagh

    raat-din KHarch kiya karta hun is par main dimagh

    sochta hun ki musibat ko mile dil ko faragh

    lekin ab tak na mila koi KHazane ka suragh

    log kahte hain amal mein hai tere dam ki kasar

    aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar

    bambai bhaga tha ek laDka jo apne ghar se

    jeb KHali thi na the us mein nae das paise

    shakl T-T ki yakayak jo nazar aai use

    aaKHirash kud paDa chalti hui gaDi se

    be-ticket KHatm hua manzil-e-hasti ka safar

    aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar aaj ki taza KHabar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now