Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj phir jine ka ai dost irada kar tu

Sada Ambalvi

aaj phir jine ka ai dost irada kar tu

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    kyoñ ujāle haiñ nigāhoñ meñ tirī chubhne lage

    kyoñ añdheroñ meñ mire dost tujhe kaif mile

    kyoñ tirī ruuh kisī naġhme se shādāb na ho

    kyoñ tabassum pe kalī ke bhī tirā dil na khile

    naam lete vafā biphar uThtā hai

    zikr iḳhlās karte bhaḌak jaa.e

    kyoñ har ik vā'de pe hotā hai gumāñ bol tujhe

    kyoñ hai iqrār se aatī tujhe inkār

    baat chhiḌtī hai agar nargisī āñkhoñ kabhī

    sard aah nikal aatī hai siine se tire

    uTh ke chup-chāp chalā jaatā hai mahfil se

    dost hote haiñ pareshān qarīne se tire

    kyoñ ye duniyā tujhe be-sūd nazar aatī hai

    kyoñ kisī chiiz chāhat hai na hasrat hai tujhe

    kyoñ tabīboñ ko nahīñ paas phaTakne detā

    ġhamgusāroñ se batā kis liye nafrat hai tujhe

    mausam-e-gul to ka.ī baar hai aa aa ke gayā

    ek muddat se tire chehre pe rā’nā.ī nahīñ

    gosha-gosha hai khilā aaj bhī gulshan magar

    tere dil ke kisī gosha meñ bahār aa.ī nahīñ

    bevafā.ī ne kisī hai dil aisā toḌā

    tujh ko dariyā bhī sarāboñ nazar aatā hai

    har hasīñ chiiz se nāhaq tujhe Dar lagtā hai

    duudh jaise jalā chhāchh se ghabrātā hai

    dil ko bezār na kar ik do havādis ke sabab

    ziist meñ aur havādis bhī guzarne haiñ abhī

    dil ujḌā hai agar baaġh to māyūs na ho

    phuul murjhāne bhī haiñ aur bhī khilne haiñ abhī

    bevafā koī jo niklā to ḳhatā kyā terī

    be-sabab ḳhud ko na is darja sazā de ab to

    yaad kar ke use hāsil tujhe kyā hogā batā

    jo tujhe bhuul gayā us ko bhulā de ab to

    uTh na.ī paud lagāne hai mausam aayā

    phuul ujḌe hue gulshan meñ khilā de na.e

    kab se betāb hai duniyā tire naġhmoñ ke liye

    uTh ke sāzoñ ko sajā giit sunā de na.e

    aaj phir jiine ai dost irāda kar

    phir na rūThegā kabhī ziist se vā'da kar

    kyon ujale hain nigahon mein teri chubhne lage

    kyon andheron mein mere dost tujhe kaif mile

    kyon teri ruh kisi naghme se shadab na ho

    kyon tabassum pe kali ke bhi tera dil na khile

    nam lete hi wafa ka tu biphar uThta hai

    zikr iKHlas ka karte hi bhaDak jae tu

    kyon har ek wa'de pe hota hai guman bol tujhe

    kyon hai iqrar se aati tujhe inkar ki bu

    baat chhiDti hai agar nargisi aankhon ki kabhi

    sard si aah nikal aati hai sine se tere

    uTh ke chup-chap chala jata hai mahfil se tu

    dost hote hain pareshan qarine se tere

    kyon ye duniya tujhe be-sud nazar aati hai

    kyon kisi chiz ki chahat hai na hasrat hai tujhe

    kyon tabibon ko nahin pas phaTakne deta

    ghamgusaron se bata kis liye nafrat hai tujhe

    mausam-e-gul to kai bar hai aa aa ke gaya

    ek muddat se tere chehre pe ra’nai nahin

    gosha-gosha hai khila aaj bhi gulshan ka magar

    tere dil ke kisi gosha mein bahaar aai nahin

    bewafai ne kisi ki hai dil aisa toDa

    tujh ko dariya bhi sarabon sa nazar aata hai

    har hasin chiz se nahaq tujhe Dar lagta hai

    dudh ka jaise jala chhachh se ghabraata hai

    dil ko bezar na kar ek do hawadis ke sabab

    zist mein aur hawadis bhi guzarne hain abhi

    dil ka ujDa hai agar bagh to mayus na ho

    phul murjhane bhi hain aur bhi khilne hain abhi

    bewafa koi jo nikla to KHata kya teri

    be-sabab KHud ko na is darja saza de ab to

    yaad kar ke use hasil tujhe kya hoga bata

    jo tujhe bhul gaya us ko bhula de ab to

    uTh nai paud lagane ka hai mausam aaya

    phul ujDe hue gulshan mein khila de tu nae

    kab se betab hai duniya tere naghmon ke liye

    uTh ke sazon ko saja git suna de tu nae

    aaj phir jine ka ai dost irada kar tu

    phir na ruThega kabhi zist se wa'da kar tu

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Abbas Khan

    Ghulam Abbas Khan

    Ghulam Abbas Khan

    Ghulam Abbas Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now