aaKHiri din
hijr se pareshāñ ham
zindagī se ghabrā kar
ḳhāmushī kī chādar meñ
duur tak chale aa.e
shor meñ nikal aa.e
shor ne salīqe se
dhīme dhīme samjhāyā
zindagī ḳhamoshī se
aage kī kahānī hai
chaa.e kī dukānoñ meñ
surma.ī gilāsoñ kī
khaḌkhaḌāhaTeñ aksar
kitnā lutf detī haiñ
shor hī to hai ye bhī
chauk pe khaḌe laḌke
jab kisī latīfe pe
qahqahe lagāte haiñ
tāliyāñ bajāte haiñ
tāliyoñ kī āvāzeñ
shor hī to kartī haiñ
aañkh bāteñ kartī haiñ
dil sadā.eñ detā hai
saañs aatī jaatī hai
ik rhythm sā bantā hai
muḳhtalif dhuneñ bhī to
shor kī zabāneñ haiñ
ab samajh meñ aayā hai
ye udaas sannāTā
shor hī kā hissa hai
ḳhāmushī yā tanhā.ī
muḳhtasar sā qissa hai
so yahī kiyā hai tai
hijr kā tire jānāñ
aaj āḳhirī din hai
kal se is ḳharābe meñ
shor ke do-ābe meñ
naukrī kareñge ham
'āshiqī kareñge ham
shā'irī kareñge ham
hijr se pareshan hum
zindagi se ghabra kar
KHamushi ki chadar mein
dur tak chale aae
shor mein nikal aae
shor ne saliqe se
dhime dhime samjhaya
zindagi KHamoshi se
aage ki kahani hai
chae ki dukanon mein
surmai gilason ki
khaDkhaDahaTen aksar
kitna lutf deti hain
shor hi to hai ye bhi
chauk pe khaDe laDke
jab kisi latife pe
qahqahe lagate hain
taliyan bajate hain
taliyon ki aawazen
shor hi to karti hain
aankh baaten karti hain
dil sadaen deta hai
sans aati jati hai
ek rhythm sa banta hai
muKHtalif dhunen bhi to
shor ki zabanen hain
ab samajh mein aaya hai
ye udas sannaTa
shor hi ka hissa hai
KHamushi ya tanhai
muKHtasar sa qissa hai
so yahi kiya hai tai
hijr ka tere jaanan
aaj aaKHiri din hai
kal se is KHarabe mein
shor ke do-abe mein
naukri karenge hum
'ashiqi karenge hum
sha'iri karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.