Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri kos

Satyapal Anand

aaKHiri kos

Satyapal Anand

MORE BYSatyapal Anand

    āḳhirī kos mujhe aaj tai karnā hai

    aur is lambe safar ye kaḌā kos mujhe

    is qadar lambā baḌhānā hai ki ab se pahle

    jo bhī kuchh guzrā hai maazī meñ use phir ik baar

    hāzir-o-nāzir-o-maujūd maiñ jhel sakūñ

    arsa-e-ġhā.ib-o-ma.adūm se is lamhe tak

    vādiyāñ jharne charāgāheñ maveshī panchhī

    khet khaliyān chhapar-khaT mire ghar dālān

    gaañv galiyāñ makāñ log dukāneñ bāzār

    aur phir shahr saḌkeñ basoñ caroñ shor

    umr baḌhtī huī bachpan se laḌakpan taraf

    aur laḌakpan vo nā-puḳhta bulūġhat jis meñ

    mujh ko ehsās huā thā ki koī aur bhī hai

    zindagī saarī jise saath mire chalnā hai

    kaisā shorīda-sar tūfān thā tuġhyānī thī

    jis ne ik bāvle insān ko be-rahmī se

    duur anjāne se pardes meñ paTḳhā thā

    aur phir pā-ba-rikāb aage aage taraf

    sar pe sāmān uThā.e hue banjāroñ

    DanDī pagDanDī saḌak naql-o-hamal harkat-o-kūch

    kaisī āyand-vurūd thī ye muhim jo hijrat

    jis meñ sīmāb qadam chaltā rahā huuñ barsoñ

    ek kos aur mujhe aaj shab chalnā hai

    aur is raat faqat apnī sohbat meñ agar

    jo bhī maiñ bhog chukā huuñ use sahbā tarah

    āḳhirī kos ke is jaam meñ bhar kar ānand

    ek lamha bhī tavaqquf na karūñ haath meñ luuñ

    aur ik ghūñT maiñ jā.ūñ to merā ye safar

    surḳh-rūī se mukammal ho mujhe sair kare

    āḳhirī kos mujhe aaj tai karnā hai

    aaKHiri kos mujhe aaj hi tai karna hai

    aur is lambe safar ka ye kaDa kos mujhe

    is qadar lamba baDhana hai ki ab se pahle

    jo bhi kuchh guzra hai mazi mein use phir ek bar

    hazir-o-nazir-o-maujud sa main jhel sakun

    arsa-e-ghaib-o-madum se is lamhe tak

    wadiyan jharne charagahen maweshi panchhi

    khet khaliyan chhapar-khaT mere ghar ka dalan

    ganw ki galiyan makan log dukanen bazar

    aur phir shahr ki saDken bason caron ka shor

    umr baDhti hui bachpan se laDakpan ki taraf

    aur laDakpan ki wo na-puKHta bulughat jis mein

    mujh ko ehsas hua tha ki koi aur bhi hai

    zindagi sari jise sath mere chalna hai

    kaisa shorida-sar tufan tha tughyani thi

    jis ne ek bawle insan ko be-rahmi se

    dur anjaane se pardes mein la paTKHa tha

    aur phir pa-ba-rikab aage hi aage ki taraf

    sar pe saman uThae hue banjaron sa

    DanDi pagDanDi saDak naql-o-hamal harkat-o-kuch

    kaisi aayand-wurud thi ye muhim jo hijrat

    jis mein simab qadam chalta raha hun barson

    ek kos aur mujhe aaj ki shab chalna hai

    aur is raat faqat apni hi sohbat mein agar

    jo bhi main bhog chuka hun use sahba ki tarah

    aaKHiri kos ke is jam mein bhar kar aanand

    ek lamha bhi tawaqquf na karun hath mein lun

    aur ek ghunT main pi jaun to mera ye safar

    surKH-rui se mukammal ho mujhe sair kare

    aaKHiri kos mujhe aaj hi tai karna hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now