aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri raat

Hafeez Jalandhari

aaKHiri raat

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    siyāhī ban ke chhāyā shahr par shaitān fitna

    gunāhoñ se lipaT kar so gayā insān fitna

    panāheñ husn ne pā.īñ siyahkārī ke dāman meñ

    vafādārī huī rū-posh nādārī ke dāman meñ

    mayassar haiñ zarī ke shāmiyāne ḳhush-nasībī ko

    oḌhā sāya-e-dīvār ne chādar ġharībī ko

    mashaqqat ko sikhā kar ḳhūbiyāñ ḳhidmat-guzārī

    huiiñ be-ḳhauf be-īmāniyāñ sarmāya-dārī

    liyā āġhosh meñ phūloñ sījoñ ne amīrī ko

    muhayyā ḳhaak ne kar diye aasan faqīrī ko

    taḌapnā chhoḌ kar chup ho ga.e hārne vaale

    maze niiñd so.e tāziyāne mārne vaale

    vo rūhānī vo jismānī uqūbat kam huī āḳhir

    ġhulāmī beḌiyoñ ke bojh se be-dam huī āḳhir

    hue fariyādiyoñ par band aivānoñ ke darvāze

    ki ḳhud muhtāj-e-darbāñ haiñ jahāñ-bānoñ ke darvāze

    isī andāz se soī ġhaflat bādshāhoñ

    surūr o kaif ban kar chhā ga.iiñ nīndeñ gunāhoñ

    sharābeñ ḳhatm kar ke ho ga.e ḳhāmosh hañgāme

    bil-āḳhir niiñd aa.ī so ga.e pur-josh hañgāme

    thamā jab zindagī josh parḳhāsh-e-ajal jaagī

    amal ko dekh kar mad.hosh pādāsh-e-amal jaagī

    uThāyā maut ne patthar jahannam ke dahāne se

    jahāñ ātish dariyā kholtā thā ik zamāne se

    bulandī se tabāhī ke samundar ne kiyā dhāvā

    chaTānoñ ke jigar se phuuT niklā ātshīñ-lāvā

    dikhā aag aivānoñ ko mazlūmī aahoñ ne

    uThā.e shola-hā-e-ātshīñ bekas nigāhoñ ne

    unheñ muḳhtār ban kar bekasī ke ḳhuun maujeñ

    hisār-e-marg ne mahsūr kar liiñ jañg jo faujeñ

    na husn o ishq ne paa.ī amaañ qahr-e-ilāhī se

    dabī pādāsh amīrī se faqīrī se na shāhī se

    sitāroñ nigāhoñ ne dhuāñ uThtā huā dekhā

    magar ḳhurshīd ne kuchh bhī na miTTī ke sivā dekhā

    siyahi ban ke chhaya shahr par shaitan ka fitna

    gunahon se lipaT kar so gaya insan ka fitna

    panahen husn ne pain siyahkari ke daman mein

    wafadari hui ru-posh nadari ke daman mein

    mayassar hain zari ke shamiyane KHush-nasibi ko

    oDha di saya-e-diwar ne chadar gharibi ko

    mashaqqat ko sikha kar KHubiyan KHidmat-guzari ki

    huin be-KHauf be-imaniyan sarmaya-dari ki

    liya aaghosh mein phulon ki sijon ne amiri ko

    muhayya KHak hi ne kar diye aasan faqiri ko

    taDapna chhoD kar chup ho gae ji haarne wale

    maze ki nind soe taziyane marne wale

    wo ruhani wo jismani uqubat kam hui aaKHir

    ghulami beDiyon ke bojh se be-dam hui aaKHir

    hue fariyaadiyon par band aiwanon ke darwaze

    ki KHud muhtaj-e-darban hain jahan-banon ke darwaze

    isi andaz se ja soi ghaflat baadshahon ki

    surur o kaif ban kar chha gain ninden gunahon ki

    sharaben KHatm kar ke ho gae KHamosh hangame

    bil-aKHir nind aai so gae pur-josh hangame

    thama jab zindagi ka josh parKHash-e-ajal jagi

    amal ko dekh kar madhosh padash-e-amal jagi

    uThaya maut ne patthar jahannam ke dahane se

    jahan aatish ka dariya kholta tha ek zamane se

    bulandi se tabahi ke samundar ne kiya dhawa

    chaTanon ke jigar se phuT nikla aatshin-lawa

    dikha di aag aiwanon ko mazlumi ki aahon ne

    uThae shola-ha-e-atshin bekas nigahon ne

    unhen muKHtar ban kar bekasi ke KHun ki maujen

    hisar-e-marg ne mahsur kar lin jang jo faujen

    na husn o ishq ne pai aman qahr-e-ilahi se

    dabi padash amiri se faqiri se na shahi se

    sitaron ki nigahon ne dhuan uThta hua dekha

    magar KHurshid ne kuchh bhi na miTTi ke siwa dekha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aaKHiri raat Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now