Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri sawal

Qamar Raees

aaKHiri sawal

Qamar Raees

MORE BYQamar Raees

    agar koī rut sitam-adā ho

    havā ho barham fazā mukaddar

    to us ko baḌh kar gale lagānā

    ise badalnā use manānā maiñ jāntā huuñ

    harīf koī anā-gazīda

    jo mujh pe tīkhī nigāh Daale

    to us ke tevar har kamāñ ko

    agar chaḌhī ho

    utaar duuñ tesha-e-nazar se

    koī muhim de agar chunautī

    mirī azīmat imtihāñ le

    to merī ḳhud-etimādī-e-jāñ

    use musaḳhḳhar banā ke chhoḌe

    savāl ye hai

    agar koī piir tasma-e-pā

    safed bāloñ safed abrū

    barchhiyāñ aur kamāñ uThā.e

    ġhazab se apne mujhe Darā.e

    to us se kyoñ kar panāh pā.ūñ

    vo baḌh ke apnī kamand Daale

    to kaise ye jism-o-jāñ chhuḌā.ūñ

    koī to ho is sadī gautam

    hakīm siinā ki ibn-e-mariyam

    jo dasht-e-umr-e-ravāñ ke girdāb se nikāle

    azāb-e-pīrī kāhishoñ se

    bashar ko laḌne hausla de

    agar koi rut sitam-ada ho

    hawa ho barham faza mukaddar

    to us ko baDh kar gale lagana

    ise badalna use manana main jaanta hun

    harif koi ana-gazida

    jo mujh pe tikhi nigah Dale

    to us ke tewar ki har kaman ko

    agar chaDhi ho

    utar dun tesha-e-nazar se

    koi muhim de agar chunauti

    meri azimat ka imtihan le

    to meri KHud-etimadi-e-jaan

    use musaKHKHar bana ke chhoDe

    sawal ye hai

    agar koi pir tasma-e-pa

    safed baalon safed abru

    ki barchhiyan aur kaman uThae

    ghazab se apne mujhe Darae

    to us se kyon kar panah paun

    wo baDh ke apni kamand Dale

    to kaise ye jism-o-jaan chhuDaun

    koi to ho is sadi ka gautam

    hakim sina ki ibn-e-mariyam

    jo dasht-e-umr-e-rawan ke girdab se nikale

    azab-e-piri ki kahishon se

    bashar ko laDne ka hausla de

    Source:

    Sham-e-Nauroz (Pg. 77)

    • Author: Qamar Raees
      • Publisher: Kitabi Duniya, Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now