Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalu ko aaya taw

Ahmad Hatib Siddiqi

aalu ko aaya taw

Ahmad Hatib Siddiqi

MORE BYAhmad Hatib Siddiqi

    ai moTe aalū ye to batāo

    kyā hai tumhārā manDī meñ bhaav

    kitne ke kitne milte ho ya.anī

    paimāna apnā ham ko batāo

    gin gin ke lete haiñ log tum ko

    centimeter meñ naape jaao

    ki liter meñ lagtī hai qīmat

    beche jaao tum paav paav

    mujh pe musībat baajī ne Daalī

    munnū ke bachche aalū to laao

    tum batāo kaise ḳhrīdūñ

    ai moTe aalū jaldī batāo

    ai moTe munnū golū maTolū

    jaao saḌak par siiTī bajāo

    laalā lalā laalā lalā

    laalā lalā bas gaa.e jaao

    patthar uchhālo DanDe sambhālo

    kuttoñ ke lashkar farfar bhagāo

    kuchh ulTe sīdhe kartab dikhā kar

    kuchh oñgī boñgī bāteñ banāo

    paḌhnā na aa.e likhnā na aa.e

    karne chale ho tum bhaav taav

    ai moTe munnū paimāne sīkho

    mujh se na uljho bas jaao jaao

    ai moTe aalu ye to batao

    kya hai tumhaara manDi mein bhaw

    kitne ke kitne milte ho yani

    paimana apna hum ko batao

    gin gin ke lete hain log tum ko

    ya centimeter mein nape jao

    ya ki liter mein lagti hai qimat

    ya beche jao tum paw paw

    mujh pe musibat baji ne Dali

    munnu ke bachche aalu to lao

    tum hi batao kaise KHridun

    ai moTe aalu jaldi batao

    ai moTe munnu golu maTolu

    jao saDak par siTi bajao

    lala lala la lala lala la

    lala lala la bas gae jao

    patthar uchhaalo DanDe sambhaalo

    kutton ke lashkar farfar bhagao

    kuchh ulTe sidhe kartab dikha kar

    kuchh ongi bongi baaten banao

    paDhna na aae likhna na aae

    karne chale ho tum bhaw taw

    ai moTe munnu paimane sikho

    mujh se na uljho bas jao jao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now