Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aangan mein ek sham

Mazhar Imam

aangan mein ek sham

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    shaam

    lamha lamha

    utartī huī

    dhund meñ

    sar jhukā.e hue ghar ke

    ḳhāmosh āñgan meñ baiThe hue

    merī vāmāñda ā.ankhoñ jaltī huī ret se

    ik bipharte samundar āvāra lahreñ achānak ulajhne lagīñ

    shaam

    rasta rasta

    utartī huī dhund meñ

    is bipharte samundar āvāra lahroñ ko

    chorī chhupe

    dafn karnā paḌā

    us khañDar meñ

    jahāñ murda sadiyoñ ke bhaTke hue rāh-rau

    chīḳhte phirte haiñ

    apnī khoj meñ

    ḳhauf saañp

    rag rag meñ ḳhuuñ tarah sarsarātā rahā

    raat ke chand be-kār lamhāt rāz-dāñ

    dekh paa.e na biphre samundar āvāra lahroñ chehra kahīñ

    aur pūchhe mohabbat se isrār se

    ye baiThe-biThā.e tumheñ kyā huā

    kuchh mujhe bhī kaho

    sham ki

    lamha lamha

    utarti hui

    dhund mein

    sar jhukae hue ghar ke

    KHamosh aangan mein baiThe hue

    meri wamanda aaankhon ki jalti hui ret se

    ek bipharte samundar ki aawara lahren achanak ulajhne lagin

    sham ki

    rasta rasta

    utarti hui dhund mein

    is bipharte samundar ki aawara lahron ko

    chori chhupe

    dafn karna paDa

    us khanDar mein

    jahan murda sadiyon ke bhaTke hue rah-rau

    chiKHte phirte hain

    apni hi khoj mein

    KHauf ka sanp

    rag rag mein KHun ki tarah sarsaraata raha

    raat ke chand be-kar lamhat ki raaz-dan

    dekh pae na biphre samundar ki aawara lahron ka chehra kahin

    aur puchhe mohabbat se israr se

    ye baiThe-biThae tumhein kya hua

    kuchh mujhe bhi kaho

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 477)

    • Author: shamim hanfi and mazhar mahdi
      • Edition: 2005
      • Publisher: qaumi council bara-e-farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now