Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aansu

Ejaz Farooqi

aansu

Ejaz Farooqi

MORE BYEjaz Farooqi

    vo ek aañsū girā

    vo dil ke athāh sāgar meñ ik sadaf bhī muñh khulā

    vo āsmānoñ surma.ī rang

    us ke aañsū meñ ghul ke

    ruḳhsār ke shafaq par bahā

    kahīñ duur ke dhartī ke gahre pātāl meñ girā

    hazāroñ ākāsh-rang aañsū

    havā ke tez aur tund jhoñkoñ meñ muntashir ho ga.e

    samundar koh jaisī muhīb maujoñ ke andhe ġhāroñ meñ kho ga.e

    magar vo aañsū

    vo ek motī

    jo merī putlī meñ jaḌ gayā hai

    hazāroñ rangoñ mājrā hai

    hazāroñ ashkoñ aa.ina hai

    wo ek aansu gira

    wo dil ke athah sagar mein ek sadaf ka bhi munh khula

    wo aasmanon ka surmai rang

    us ke aansu mein ghul ke

    ruKHsar ke shafaq par baha

    kahin dur ja ke dharti ke gahre patal mein gira

    hazaron aakash-rang aansu

    hawa ke tez aur tund jhonkon mein muntashir ho gae

    samundar ki koh jaisi muhib maujon ke andhe ghaaron mein kho gae

    magar wo aansu

    wo ek moti

    jo meri putli mein jaD gaya hai

    hazaron rangon ka majra hai

    hazaron ashkon ka aaina hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now