Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap kaun

Hilal Rizvi

aap kaun

Hilal Rizvi

MORE BYHilal Rizvi

    hamāre aap haiñ mehmān ham nahīñ samjhe

    kabhī jaan na pahchān ham nahīñ samjhe

    kahāñ hai aap sāmān ham nahīñ samjhe

    na sergeant na kaptān ham nahīñ samjhe

    muaaf kījiye shrīmān ham nahīñ samjhe

    masīh ke na kisī chārāgar ke ruup meñ haiñ

    na rahnumā na kisī rāhbar ke ruup meñ haiñ

    to kyā janāb kisī actor ke ruup meñ haiñ

    batā.iye koī pahchān ham nahīñ samjhe

    muaaf kījiye shrīmān ham nahīñ samjhe

    takallufāt ke parde zarā haTā.iye to

    fasāna-e-ġham-e-pinhāñ hameñ sunā.iye to

    ye kaisī āmad-e-be-vaqt hai batā.iye to

    na aur kījiye hairān ham nahīñ samjhe

    muaaf kījiye shrīmān ham nahīñ samjhe

    base nahīñ the yūñhī to dil-e-ḳharāb meñ aap

    ki har lihāz se the parda-e-hijāb meñ aap

    haiñ aaj kashmakash-e-daur-e-inqalāb meñ aap

    hoñ vote aap pe qurbān ham nahīñ samjhe

    muaaf kījiye shrīmān ham nahīñ samjhe

    basant-rūp kahīñ ho kahīñ basantā tum

    kabhī milāp ke haamī kabhī laḌantā tum

    kise ḳhabar hai ki netā ho tum ki jantā tum

    tumheñ samajhtā hai bhagvān ham nahīñ samjhe

    muaaf kījiye shrīmān ham nahīñ samjhe

    hamare aap hain mehman hum nahin samjhe

    kabhi ki jaan na pahchan hum nahin samjhe

    kahan hai aap ka saman hum nahin samjhe

    na sergeant na kaptan hum nahin samjhe

    muaf kijiye shriman hum nahin samjhe

    masih ke na kisi chaaragar ke rup mein hain

    na rahnuma na kisi rahbar ke rup mein hain

    to kya janab kisi actor ke rup mein hain

    bataiye koi pahchan hum nahin samjhe

    muaf kijiye shriman hum nahin samjhe

    takallufat ke parde zara haTaiye to

    fasana-e-gham-e-pinhan hamein sunaiye to

    ye kaisi aamad-e-be-waqt hai bataiye to

    na aur kijiye hairan hum nahin samjhe

    muaf kijiye shriman hum nahin samjhe

    base nahin the yunhi to dil-e-KHarab mein aap

    ki har lihaz se the parda-e-hijab mein aap

    hain aaj kashmakash-e-daur-e-inqalab mein aap

    hon wote aap pe qurban hum nahin samjhe

    muaf kijiye shriman hum nahin samjhe

    basant-rup kahin ho kahin basanta tum

    kabhi milap ke hami kabhi laDanta tum

    kise KHabar hai ki neta ho tum ki janta tum

    tumhein samajhta hai bhagwan hum nahin samjhe

    muaf kijiye shriman hum nahin samjhe

    Source:

    Kah Doon...? (Pg. 113)

    • Author: Hilal Rizvi
      • Publisher: Hamara Daur Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now