Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aas

MORE BYMamta Tiwari

    post-man cycle ghanTī

    mere dil dhaḌkaneñ baḌhā detī hai

    ḳhat haath meñ aate

    un yādeñ bhī saath chaltī aatī hai

    ek mad.hosh karne vaalī lifāfe ḳhushbū

    zehn par chhā jaatī hai

    siyāhī likhāvaT

    us uñgliyoñ chhuvan yaad dilātī hai

    kāġhaz khurdurā ehsās

    dil ko gudgudātā hai

    patr par likhā mazmūn

    ThanD garm chaa.e garmātā hai

    aise jaane kitne ḳhat Dākiya laatā rahā

    aur har dīvālī par inhīñ ḳhatoñ in.aam paatā rahā

    post-man ki cycle ki ghanTi

    mere dil ki dhaDkanen baDha deti hai

    KHat hath mein aate hi

    un ki yaaden bhi sath chalti aati hai

    ek madhosh karne wali lifafe ki KHushbu

    zehn par chha jati hai

    siyahi ki likhawaT

    us ki ungliyon ki chhuwan yaad dilati hai

    kaghaz ka khurdura ehsas

    dil ko gudgudata hai

    patr par likha mazmun

    ThanD ki garm chae sa garmata hai

    aise jaane kitne KHat Dakiya lata raha

    aur har diwali par inhin KHaton ka inam pata raha

    Source :
    • Book : Kya Keh Rahi hai Zindagi (Pg. 125)
    • Author : Mamta Tiwari
    • Publication : Pahle Pahel Parkashan (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now