Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaseb

MORE BYArsh Siddiqui

    tirī rahguzar ko maiñ yuuñ chhoḌ aayā

    ki ik be-navā tabāhī tujh par na ilzām aa.e

    maiñ samjhā thā yuuñ shahar raunaqoñ meñ ulajh kar

    tirī be-niyāzī ke aaseb se bach rahūñgā

    magar jab kabhī maiñ sar-e-shām cafe meñ pahuñchā

    to dekhā

    ki haal ke ek kone meñ ik mez par sar jhukā.e

    na jaane kise nāma-e-mushk-bū likh rahā hai

    kabhī mall par maiñ ne taxi jo rokī

    to dekhā

    ki taxi meñ pahle se ik āshnā chehra-e-dil-nashīñ ziyā hai

    hamesha ye thā

    kabhī shaam ko maiñ kisī cinema haal meñ ke baiThā

    to dekhā

    ki pahlū meñ hai

    ka.ī baar maiñ ne tujhe gulshan-e-fātima harī ghaas par baiThe dekhā

    ka.ī baar bāzār meñ mire saath chaltā rahā der tak aur

    ka.ī baar mere ghar tak mire saath aayā

    aur ab apne tārīk kamre meñ baiThā huā sochtā huuñ

    tirī rahguzar ko maiñ kyuuñ chhoḌ aayā

    teri rahguzar ko main yun chhoD aaya

    ki ek be-nawa ki tabahi ka tujh par na ilzam aae

    main samjha tha yun shahar ki raunaqon mein ulajh kar

    teri be-niyazi ke aaseb se bach rahunga

    magar jab kabhi main sar-e-sham cafe mein pahuncha

    to dekha

    ki tu haal ke ek kone mein ek mez par sar jhukae

    na jaane kise nama-e-mushk-bu likh raha hai

    kabhi mall par main ne taxi jo roki

    to dekha

    ki taxi mein pahle se ek aashna chehra-e-dil-nashin ki ziya hai

    hamesha ye tu tha

    kabhi sham ko main kisi cinema haal mein ja ke baiTha

    to dekha

    ki pahlu mein tu hai

    kai bar main ne tujhe gulshan-e-fatima ki hari ghas par baiThe dekha

    kai bar bazar mein tu mere sath chalta raha der tak aur

    kai bar tu mere ghar tak mere sath aaya

    aur ab apne tarik kamre mein baiTha hua sochta hun

    teri rahguzar ko main kyun chhoD aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now