Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiq aur KHuda

Sardar Panchhi

aashiq aur KHuda

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    log to mandir masjid jaa.eñ DhūñDeñ patthar sil meñ

    āshiq ko rab nazar aa.e mahbūb ke kaale til meñ

    kyoñ ye us ko ban ban DhūñDe kyoñ ye tīrath jaa.e

    āshiq rab to rahtā hai ḳhud āshiq ke dil meñ

    āshiq ke liye us mahbūb ḳhudā hai

    donoñ ke biich ek ibādat silsila hai

    mukammal husn koī DhūñDne ghar se chalā 'rāñjhā'

    hasīnoñ parī ik 'hīr' se Takrā gayā 'rāñjhā'

    milī nazreñ baḌhī dhaḌkan mohabbat kiran phūTī

    phir apnī 'hīr' āñkhoñ putlī ho gayā 'rāñjhā'

    ab 'hīr' hai pujāran vo us devtā hai

    donoñ ke biich ek ibādat silsila hai

    dabe paañv chalī 'sohnī' mohabbat ke ishāre par

    use us paar jaanā hai ghaḌe ke sahāre par

    gulābī jism ne maġhrūr lahroñ par fat.h paa.ī

    lo apne yaar ke pahlū meñ aa pahuñchī kināre par

    mahivāl jāntā hai sohnī ke dil meñ kyā hai

    donoñ ke biich ek ibādat silsila hai

    bahut ghabrā.ī 'sassī' jab na 'punnuñ' sej par dekhā

    vo dīvānī huī dauḌī idhar pūchhā udhar dekhā

    qadam ke har nishāñ par pyāsī 'sassī' ne zabāñ rakh

    taḌap kar mar ga.ī sahrā meñ zinda dāstāñ rakh

    ulfat zindagī meñ do gaz fāsla hai

    donoñ ke biich ek ibādat silsila hai

    āshiq ke liye us mahbūb ḳhudā hai

    donoñ ke biich ek ibādat silsila hai

    log to mandir masjid jaen DhunDen patthar sil mein

    aashiq ko rab nazar aae mahbub ke kale til mein

    kyon ye us ko ban ban DhunDe kyon ye tirath jae

    aashiq ka rab to rahta hai KHud aashiq ke dil mein

    aashiq ke liye us ka mahbub hi KHuda hai

    donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai

    mukammal husn koi DhunDne ghar se chala 'ranjha'

    hasinon ki pari ek 'hir' se Takra gaya 'ranjha'

    mili nazren baDhi dhaDkan mohabbat ki kiran phuTi

    phir apni 'hir' ki aankhon ki putli ho gaya 'ranjha'

    ab 'hir' hai pujaran wo us ka dewta hai

    donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai

    dabe panw chali 'sohni' mohabbat ke ishaare par

    use us par jaana hai ghaDe hi ke sahaare par

    gulabi jism ne maghrur lahron par fath pai

    lo apne yar ke pahlu mein aa pahunchi kinare par

    mahiwal jaanta hai sohni ke dil mein kya hai

    donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai

    bahut ghabrai 'sassi' jab na 'punnun' sej par dekha

    wo diwani hui dauDi idhar puchha udhar dekha

    qadam ke har nishan par pyasi 'sassi' ne zaban rakh di

    taDap kar mar gai sahra mein zinda dastan rakh di

    ulfat ki zindagi mein do gaz ka fasla hai

    donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai

    aashiq ke liye us ka mahbub hi KHuda hai

    donon ke bich ek ibaadat ka silsila hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now