Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasuda haali ke jatan

Jamshed Afaq

aasuda haali ke jatan

Jamshed Afaq

MORE BYJamshed Afaq

    zaat āsūdgī ke sab jatan kartā rahūñ

    tā.eroñ ke sañg uḌ kar

    āsmāñ jhilmilātī nīlgūñ god meñ iḳhlās garmī

    mohabbat tapish ko

    har ghaḌī maiñ DhūñDhtā phirtā rahūñ

    kabhī apne ḳhayāloñ ridā oḌhe

    maiñ dhartī ke khule siine pe sar rakh kar

    aur apnī bāñheñ us ke gard lipTāne koshish meñ

    jahāñ bhar ke gile-shikve ghane bāloñ meñ

    āñkhoñ se chhine motī samajh ke Dāltā jaayā karūñ

    kabhī maiñ nā-rasā.ī ke samundar meñ

    kisī chhoTī machhlī tarah

    apne tahaffuz aur apnī zindagānī ko

    ḳhushī ke ḳhūb-sūrat āsmānī saat rañgoñ ke

    kisī nādīda sāñche meñ

    badal dene aisā makr-o-fan kartā rahūñ

    zaat āsūdgī ke sab jatan kartā rahūñ

    zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun

    taeron ke sang uD kar

    aasman ki jhilmilati nilgun si god mein iKHlas ki garmi

    mohabbat ki tapish ko

    har ghaDi main DhunDhta phirta rahun

    ya kabhi apne KHayalon ki rida oDhe

    main dharti ke khule sine pe sar rakh kar

    aur apni banhen us ke gard lipTane ki koshish mein

    jahan bhar ke gile-shikwe ghane baalon mein

    aankhon se chhine moti samajh ke Dalta jaya karun

    ya kabhi main na-rasai ke samundar mein

    kisi chhoTi si machhli ki tarah

    apne tahaffuz aur apni zindagani ko

    KHushi ke KHub-surat aasmani sat rangon ke

    kisi nadida sanche mein

    badal dene ka aisa makr-o-fan karta rahun

    zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 131)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now