Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aatish-bazi ke khel khelne walo

Najma Mansoor

aatish-bazi ke khel khelne walo

Najma Mansoor

MORE BYNajma Mansoor

    ātish-bāzī ke khel khelne vaalo

    tum kyā jaano

    parinda bhī ḳhvāb dekhtā hai

    mohabbat ke pyaar ke

    aur amn ke ḳhvāb

    jānte ho

    jab us ke ḳhvāboñ meñ bārūd bas jaa.e

    to ḳhvāboñ dīvāreñ bharbharī ho kar

    bikharne lagtī haiñ

    parinda ruuTh jaatā hai

    sab se

    apne aap se bhī

    parinda sahmā sahmā gum-sum phirtā hai

    be-ḳhvāb āñkhoñ se har chehre ko taktā hai

    ātish-bāzī ke khel khelne vaalo

    tum kyā jaano

    parinda ḳhvāb na dekhe to

    zamīñ se āsmān tak

    havā ke kaase meñ kaale dhueñ ke sivā kuchh na rahe

    din bhī kaalī raat ban jaa.e

    parinda mar jaa.e

    parinda mar jaa.e

    aatish-bazi ke khel khelne walo

    tum kya jaano

    parinda bhi KHwab dekhta hai

    mohabbat ke pyar ke

    aur amn ke KHwab

    jaante ho

    jab us ke KHwabon mein barud ki bu bas jae

    to KHwabon ki diwaren bharbhari ho kar

    bikharne lagti hain

    parinda ruTh jata hai

    sab se

    apne aap se bhi

    parinda sahma sahma gum-sum sa phirta hai

    be-KHwab aankhon se har chehre ko takta hai

    aatish-bazi ke khel khelne walo

    tum kya jaano

    parinda KHwab na dekhe to

    zamin se aasman tak

    hawa ke kase mein kale dhuen ke siwa kuchh na rahe

    din bhi kali raat ban jae

    parinda mar jae

    parinda mar jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now