aawagawan
kitne patte jhaḌ jaate haiñ roz ke roz
phir bhī bojh nahīñ kam hotā peḌoñ kā
kitne panchhī uḌ jaate haiñ
anjānī manzil kī or
lekin shor nahīñ kam hotā jangal kā
nayā pakherū gaanā gaatā rahtā hai
peḌ hamārī aas bañdhātā rahtā hai
kitne patte jhaD jate hain roz ke roz
phir bhi bojh nahin kam hota peDon ka
kitne panchhi uD jate hain
anjaani manzil ki or
lekin shor nahin kam hota jangal ka
naya pakheru gana gata rahta hai
peD hamari aas bandhata rahta hai
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 153)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.