Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazadi

MORE BYBasant Lakhnavi

    bahār aa.ī hai gulshan shādmāñ hai

    bahut rangīñ chaman dāstāñ hai

    hujūm-e-nāznīn-o-mahvishāñ hai

    tirange ko zarā ūñchā uThāo

    rafīqo jashn-e-āzādī manāo

    tumhīñ se qaum hai jāh-o-hashmat

    tumhīñ se hai vatan shān-o-azmat

    tumheñ denā hai ab dars-e-mohabbat

    qadam ik saath sab mil kar baḌhāo

    rafīqo jashn-e-āzādī manāo

    miTā do buġhz-o-kīna fitna-o-shar

    vo ġhuncha ho ki kāñTā gul-e-tar

    barābar sab haq hai gulsitāñ par

    yahī sab se kaho sab ko batāo

    rafīqo jashn-e-āzādī manāo

    sañvāro is tarah se sehn-e-gulshan

    raheñ mil-jul ke sab shaiḳh-o-barahman

    ho gosha gosha is dhartī raushan

    ahinsā sabaq sīkho sikhāo

    rafīqo jashn-e-āzādī manāo

    miTā do hind se be-rozgārī

    nayā fan ho na.ī ho dast-kārī

    tijārat meñ baḌhe shohrat tumhārī

    vatan ko apne ik jannat banāo

    rafīqo jashn-e-āzādī manāo

    muhāfiz ho nigahbān-e-chaman ho

    tumhīñ to jān-o-rūh-e-anjuman ho

    sikhānā kyā tumheñ tum ahl-e-fan ho

    charāġh-e-fikr-o-fan se nuur laao

    rafīqo jashn-e-āzādī manāo

    bahaar aai hai gulshan shadman hai

    bahut rangin chaman ki dastan hai

    hujum-e-naznin-o-mahwishan hai

    tirange ko zara uncha uThao

    rafiqo jashn-e-azadi manao

    tumhin se qaum ki hai jah-o-hashmat

    tumhin se hai watan ki shan-o-azmat

    tumhein dena hai ab dars-e-mohabbat

    qadam ek sath sab mil kar baDhao

    rafiqo jashn-e-azadi manao

    miTa do bughz-o-kina fitna-o-shar

    wo ghuncha ho ki kanTa ya gul-e-tar

    barabar sab ka haq hai gulsitan par

    yahi sab se kaho sab ko batao

    rafiqo jashn-e-azadi manao

    sanwaro is tarah se sehn-e-gulshan

    rahen mil-jul ke sab shaiKH-o-barahman

    ho gosha gosha is dharti ka raushan

    ahinsa ka sabaq sikho sikhao

    rafiqo jashn-e-azadi manao

    miTa do hind se be-rozgari

    naya fan ho nai ho dast-kari

    tijarat mein baDhe shohrat tumhaari

    watan ko apne ek jannat banao

    rafiqo jashn-e-azadi manao

    muhafiz ho nigahban-e-chaman ho

    tumhin to jaan-o-ruh-e-anjuman ho

    sikhana kya tumhein tum ahl-e-fan ho

    charagh-e-fikr-o-fan se nur lao

    rafiqo jashn-e-azadi manao

    Source:

    Shahr-e-Nigaran (Pg. 80)

    • Author: Basant Lakhnavi
      • Publisher: Basant Lakhnavi
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now