Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazadi ki subh

Shamim Karhani

aazadi ki subh

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    Interesting Fact

    1942

    zarā dekho to maañ peḌoñ pe chiḌiyāñ

    ḳhushī ke giit kaise rahī haiñ

    batāo kab tak aa.egā vo din maañ

    ki maiñ gā.uñgā āzādī ke naġhme

    mire beTe na ho māyūs hargiz

    nadī jaise pahāḌoñ se utar kar

    samundar taraf chaltī hai sarmast

    ki makkhī shahd jaise dam-e-shām

    palaTtī hai to chhatte jānib

    bahut tezī se baḌhtā rahā hai

    use roke bhalā kis meñ hai tāqat

    use Toke bhalā kis meñ hai jur.at

    mire beTe yaqīñ kar ek din

    isī chiḌiyā sūrat hogā āzād

    qafas tīliyāñ TūTeñgī ik din

    fazā.eñ qaid se chhūTeñgī ik din

    na.ī manzil ḳhātir mere jāñbāz

    kisī taaza safar hogā āġhāz

    zara dekho to man peDon pe chiDiyan

    KHushi ke git kaise ga rahi hain

    batao kab tak aaega wo din man

    ki main gaunga aazadi ke naghme

    mere beTe na ho mayus hargiz

    nadi jaise pahaDon se utar kar

    samundar ki taraf chalti hai sarmast

    ki makkhi shahd ki jaise dam-e-sham

    palaTti hai to chhatte hi ki jaanib

    bahut tezi se baDhta ja raha hai

    use roke bhala kis mein hai taqat

    use Toke bhala kis mein hai jurat

    mere beTe yaqin kar ek din tu

    isi chiDiya ki surat hoga aazad

    qafas ki tiliyan TuTengi ek din

    fazaen qaid se chhuTengi ek din

    nai manzil ki KHatir mere jaanbaz

    kisi taza safar ka hoga aaghaz

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now