aazadi
us ne barbād kar diyā mujh ko
yā'nī āzād kar diyā mujh ko
qaid se chhūT kar bhī rotā huuñ
us kī yādoñ kā bojh Dhotā huuñ
haal kyā hai batā nahīñ saktā
chain luuTā hai be-qarārī ne
ab bhī kāñTā gale meñ hai mere
Dor to kaaT dī shikārī ne
us ne barbaad kar diya mujh ko
ya'ni aazad kar diya mujh ko
qaid se chhuT kar bhi rota hun
us ki yaadon ka bojh Dhota hun
haal kya hai bata nahin sakta
chain luTa hai be-qarari ne
ab bhi kanTa gale mein hai mere
Dor to kaT di shikari ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.