Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab wo kya kar raha hoga

Maryam Tasleem Kiyani

ab wo kya kar raha hoga

Maryam Tasleem Kiyani

MORE BYMaryam Tasleem Kiyani

    ab mujhe kisī aur se mohabbat ho ga.ī hai

    aur vo mujh se nafrat kar rahā hogā

    maiñ ḳhush huuñ kitnī

    vo apne ghar meñ udaas hogā

    merā haath kisī aur ke haath meñ dekh kar

    haath vo apne mal rahā hogā

    merī bātoñ meñ kisī aur ke lafz sun kar

    apne lafzoñ par sharminda ho rahā hogā

    merī āñkhoñ meñ kisī aur aks dekh kar

    apnī nazroñ meñ gir rahā hogā

    maiñ masrūr huuñ kisī ho kar

    ye soch kar vo ḳhud se kaT rahā hogā

    ab merī bātoñ meñ vo lafz-e-mohmal tarah hai

    vo apnī yādoñ meñ mujhe tafsīl se soch rahā hogā

    achchhā vaqt jo guzrā thā saath meñ us ke

    use vo vaqt bahut burā lag rahā hogā

    maiñ kisī ho chukī dil-o-jān se ab

    aur vo ḳhud se judā ho chukā hogā

    ab mujhe kisī aur se mohabbat ho ga.ī hai

    aur vo mujh se nafrat kar rahā hogā

    ab mujhe kisi aur se mohabbat ho gai hai

    aur wo mujh se nafrat kar raha hoga

    main KHush hun kitni

    wo apne ghar mein udas hoga

    mera hath kisi aur ke hath mein dekh kar

    hath wo apne mal raha hoga

    meri baaton mein kisi aur ke lafz sun kar

    apne lafzon par sharminda ho raha hoga

    meri aankhon mein kisi aur ka aks dekh kar

    apni hi nazron mein gir raha hoga

    main masrur hun kisi ki ho kar

    ye soch kar wo KHud se hi kaT raha hoga

    ab meri baaton mein wo lafz-e-mohmal ki tarah hai

    wo apni yaadon mein mujhe tafsil se soch raha hoga

    achchha waqt jo guzra tha sath mein us ke

    use wo waqt bahut bura lag raha hoga

    main kisi ki ho chuki dil-o-jaan se ab

    aur wo KHud se juda ho chuka hoga

    ab mujhe kisi aur se mohabbat ho gai hai

    aur wo mujh se nafrat kar raha hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now