achchhai
nadī ke us taraf
haañ vahīñ parle kināre
vo dekho phūñs kā chhappar
thakā-māñda sā maiñ guzrā vahāñ se
vo mujh ko rok kar bolī
ki beTā aao baiTho
aur zarā ārām karte jaao
mujhe hairat huī us par
to maiñ be-sāḳhta us se
yuuñ hī bas pūchh baiThā ki
arī maa.ī tum apnā naam batlāo
vo thoḌī Dagmagā.ī aur bolī
ki beTā maiñ vahī achchhā.ī huuñ jis ko
zamāna DhūñDhtā hai ūñche mahloñ meñ
nadi ke us taraf
han wahin parle kinare
wo dekho phuns ka chhappar
thaka-manda sa main guzra wahan se
wo mujh ko rok kar boli
ki beTa aao baiTho
aur zara aaram karte jao
mujhe hairat hui us par
to main be-saKHta us se
yun hi bas puchh baiTha ki
ari mai tum apna nam batlao
wo thoDi Dagmagai aur boli
ki beTa main wahi achchhai hun jis ko
zamana DhunDhta hai unche mahlon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.