Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhe din

Ahmaq Phaphoondvi

achchhe din

Ahmaq Phaphoondvi

MORE BYAhmaq Phaphoondvi

    badleñ phir ruḳh apnā havā.eñ

    rañj ke bādal phir chhaT jaa.eñ

    ḳhushiyāñ apnā rañg jamā.eñ

    aish se hoñ māmūr fazā.eñ

    raas aa.eñ yārab ye duā.eñ

    mulk ke phir achchhe din aa.eñ

    phir gulzār baneñ vīrāne

    phir hoñ vahī rañgīñ afsāne

    phir aa jaa.eñ agle zamāne

    phir hoñ vahī pur-kaif tarāne

    phir hoñ vahī dilchasp sadā.eñ

    mulk ke phir achchhe din aa.eñ

    des hālat phir ho chañgī

    aa.e vahī daur-e-yak-rañgī

    ḳhatm hoñ bāteñ sab be-Dhañgī

    utre gale se tauq-e-farañgī

    gore sab hijrat kar jaa.eñ

    mulk ke phir achchhe din aa.eñ

    sikka apnā raaj bhī apnā

    taḳht bhī apnā taaj bhī apnā

    palace apnā loadge bhī apnā

    kal bhī apnā aaj bhī apnā

    ham phir apnā ThāTh jamā.eñ

    mulk ke phir achchhe din aa.eñ

    mil apne hoñ mall ho apnā

    san apnā ho saal ho apnā

    daulat aur iqbāl ho apnā

    ākās aur pātāl ho apnā

    sab kuchh phir apne ho jaa.eñ

    mulk ke phir achchhe din aa.eñ

    badlen phir ruKH apna hawaen

    ranj ke baadal phir chhaT jaen

    KHushiyan apna rang jamaen

    aish se hon mamur fazaen

    ras aaen yarab ye duaen

    mulk ke phir achchhe din aaen

    phir gulzar banen virane

    phir hon wahi rangin afsane

    phir aa jaen agle zamane

    phir hon wahi pur-kaif tarane

    phir hon wahi dilchasp sadaen

    mulk ke phir achchhe din aaen

    des ki haalat phir ho changi

    aae wahi daur-e-yak-rangi

    KHatm hon baaten sab be-Dhangi

    utre gale se tauq-e-farangi

    gore sab hijrat kar jaen

    mulk ke phir achchhe din aaen

    sikka apna raj bhi apna

    taKHt bhi apna taj bhi apna

    palace apna loadge bhi apna

    kal bhi apna aaj bhi apna

    hum phir apna ThaTh jamaen

    mulk ke phir achchhe din aaen

    mil apne hon mall ho apna

    san apna ho sal ho apna

    daulat aur iqbaal ho apna

    aakas aur patal ho apna

    sab kuchh phir apne ho jaen

    mulk ke phir achchhe din aaen

    Source:

    (Pg. 75)

    • Author: Ahmaq Phaphoondvi
      • Publisher: Maktaba Burhan, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now