Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

actress ka contract

Majeed Amjad

actress ka contract

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    mirā vajūd zindagī bhed hai dekh

    ye ek hoñT ke sho.ale pe barg-e-gul se ḳharāsh

    ye ek jism ke kundan meñ gudgudī se gudāz

    ye ek ruuh bhiñche bāzuoñ meñ kheltī lahr!

    zarā qarīb to aa dekh tere sāmne haiñ

    ye surḳh ras bhare lab jin ik jhalak ke liye

    kabhī qabīloñ ke dil joshanoñ meñ dhaḌke the

    jo kahe to yahī hoñT surḳh ras bhare hoñT

    tire lahū meñ shagūfe khilā bhī sakte haiñ!

    qarīb aa ye badan merī zindagī tilism

    tirī nigāh chiñgāriyoñ pyāsā hai

    jo kahe to yahī narm lahariyā āñchal

    yahī naqāb mirī chuTkiyoñ meñ aTkī huī

    yahī ridā mirī añgḌā.iyoñ se maskī huī

    ye ābshār Dhalānoñ se gir bhī saktī hai

    bas ek shart... ye gauhar sutūr-e-dastāvez

    zarā koī ye vasīqa raqam kare to sahī

    ikā.īyoñ ke udhar jitne dā.ere hoñge!

    idhar bhī utne aks un barahna sho.aloñ ke

    mera wajud zindagi ka bhed hai dekh

    ye ek honT ke shoale pe barg-e-gul se KHarash

    ye ek jism ke kundan mein gudgudi se gudaz

    ye ek ruh bhinche bazuon mein khelti lahr!

    zara qarib to aa dekh tere samne hain

    ye surKH ras bhare lab jin ki ek jhalak ke liye

    kabhi qabilon ke dil joshanon mein dhaDke the

    jo tu kahe to yahi honT surKH ras bhare honT

    tere lahu mein shagufe khila bhi sakte hain!

    qarib aa ye badan meri zindagi ka tilism

    teri nigah ki chingariyon ka pyasa hai

    jo tu kahe to yahi narm lahariya aanchal

    yahi naqab meri chuTkiyon mein aTki hui

    yahi rida meri angDaiyon se maski hui

    ye aabshaar Dhalanon se gir bhi sakti hai

    bas ek shart ye gauhar sutur-e-dastawez

    zara koi ye wasiqa raqam kare to sahi

    ikaiyon ke udhar jitne daere honge!

    idhar bhi utne hi aks un barahna shoalon ke

    Source:

    Jalta Hai Badan (Pg. 124)

    • Author: Zahid Hasan
      • Edition: 2002
      • Publisher: Apnaidara, Lahore
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now