adakari
suno jānāñ
maiñ aksar muskurātī huuñ
hamesha shaad rahtī huuñ
sadā hañstī chahaktī huuñ
sabhī se hañs ke miltī huuñ
na.e kapḌe pahantī huuñ
bahut sajtī sañvartī huuñ
magar jānāñ
maiñ tum se ab
ijāzat chāhtī huuñ
us qasam se
ḳhud ko ab āzād karne kī
baḌī hī 'ājizī ke saath jo tum ne
mire hāthoñ ko apne haath meñ le kar
dam-e-ruḳhsat dilā.ī thī
ki hañsne muskurāne kī
hamesha ḳhush nazar aane kī
ab mujh se adākārī nahīñ hogī
suno jaanan
main aksar muskuraati hun
hamesha shad rahti hun
sada hansti chahakti hun
sabhi se hans ke milti hun
nae kapDe pahanti hun
bahut sajti sanwarti hun
magar jaanan
main tum se ab
ijazat chahti hun
us qasam se
KHud ko ab aazad karne ki
baDi hi 'ajizi ke sath jo tum ne
mere hathon ko apne hath mein le kar
dam-e-ruKHsat dilai thi
ki hansne muskurane ki
hamesha KHush nazar aane ki
ab mujh se adakari nahin hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.