Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar aurat kama sakti to

Bushra Saeed

agar aurat kama sakti to

Bushra Saeed

MORE BYBushra Saeed

    kharī bātoñ zā.iqa tursh hotā hai

    ba-hasiyat insān

    aurat zarūrat

    kisī mard ko nahīñ

    vo girvī rakhī jaa.e

    bech jaa.e

    kirā.e pe jaa.e

    yak-musht ḳharīd jaa.e

    us ke ḳhayālāt

    bandar-bāñT mumkin nahīñ

    hukm pābandī tauq pahan kar

    jīvan kuTiyā

    kirāya adā karte hue

    agar aurat kamā saktī to

    laatī mard ke liye ḳharīd kar

    vo hausla

    ki jis se vo apnā chehra

    us ke ḳhayāl ā.īne meñ dekh saktā

    nā-ḳhush tamām bātoñ ko

    insāf ke palḌe meñ taul saktā

    adam-e-tahaffuz ke pinjre meñ

    tīsre darje ke qaidī haisiyat se

    agar aurat kamā saktī to

    laatī mard ke liye ḳharīd kar

    vo mohabbat

    jo us fitrī zarūrat se māvarā hotī

    agar aurat kamā saktī to

    khari baaton ka zaiqa tursh hota hai

    ba-hasiyat insan

    aurat ki zarurat

    kisi mard ko nahin

    wo girwi rakhi jae

    ya bech di jae

    kirae pe li jae

    ya yak-musht KHarid li jae

    us ke KHayalat ki

    bandar-banT mumkin nahin

    hukm ki pabandi ka tauq pahan kar

    jiwan ki kuTiya ka

    kiraya ada karte hue

    agar aurat kama sakti to

    lati mard ke liye KHarid kar

    wo hausla

    ki jis se wo apna chehra

    us ke KHayal aaine mein dekh sakta

    na-KHush tamam baaton ko

    insaf ke palDe mein taul sakta

    adam-e-tahaffuz ke pinjre mein

    tisre darje ke qaidi ki haisiyat se

    agar aurat kama sakti to

    lati mard ke liye KHarid kar

    wo mohabbat

    jo us ki fitri zarurat se mawara hoti

    agar aurat kama sakti to

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now