Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahd-e-wafa

Anjum Azmi

ahd-e-wafa

Anjum Azmi

MORE BYAnjum Azmi

    shikast-e-ġham tasavvur ajiib hai lekin

    tirī nigāh pe kitnā mujhe bharosa hai

    mire junūñ ko na.e āstāñ hājat thī

    tirī talāsh thī ai jān-e-husn-o-barnā.ī

    tujhī ko ke mohabbat ne sar uThāyā hai

    jabīn-e-nāz pe ab itnī muskurāhaT hai

    ki Duub jā.eñge is raushnī meñ vahm-o-gumāñ

    maiñ sochtā huuñ ki kitnā hasīñ muqaddar hai

    mire liye khile haiñ masarratoñ ke kañval

    ye e'timād mujhe de ga.ī ho tum aa kar

    sanam-kadoñ meñ to phailī hai tīrgī har-sū

    har ek samt se uThtī haiñ sogvār āñkheñ

    ki jab bhī hausla-e-dil ko āzmāyā hai

    kisī ko ahd-e-vafā phir na raas aaya hai

    magar jo zaḳhm-e-jigar pukār guuñj uThe

    magar jo tishna-labī koī mudāvā ho

    shikast-e-gham ka tasawwur ajib hai lekin

    teri nigah pe kitna mujhe bharosa hai

    mere junun ko nae aastan ki hajat thi

    teri talash thi ai jaan-e-husn-o-barnai

    tujhi ko pa ke mohabbat ne sar uThaya hai

    jabin-e-naz pe ab itni muskurahaT hai

    ki Dub jaenge is raushni mein wahm-o-guman

    main sochta hun ki kitna hasin muqaddar hai

    mere liye hi khile hain masarraton ke kanwal

    ye e'timad mujhe de gai ho tum aa kar

    sanam-kadon mein to phaili hai tirgi har-su

    har ek samt se uThti hain sogwar aankhen

    ki jab bhi hausla-e-dil ko aazmaya hai

    kisi ko ahd-e-wafa phir na ras aaya hai

    magar jo zaKHm-e-jigar ki pukar gunj uThe

    magar jo tishna-labi ka koi mudawa ho

    Source:

    Lab-o-Rukhsar (Pg. 68)

    • Author: Anjum Azmi
      • Publisher: Art Academy, Aligarh
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now