Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai fairy-tail

Hasan Akbar Kamal

ai fairy-tail

Hasan Akbar Kamal

MORE BYHasan Akbar Kamal

    kabhī bachpan meñ jo paḌhte the pariyoñ kahānī meñ

    parī koī tilsmātī asar se

    nīm-shab saare khilaunoñ ko

    badal detī thī jītī-jāgtī maḳhlūq meñ

    ab yuuñ huā

    aise nādīda asar ne

    ek ghar meñ

    kuchh khilaunoñ ko atā zindagī

    aur lamha bhar meñ in ko hañsne bolne

    aur sub.h pahlī kiran tak

    zinda rahne par kyā qādir

    unhī meñ ek thā aisā khilaunā

    jo khilaunoñ se bhare kamre meñ tanhā thā

    use bachche kabhī āġhosh meñ lete

    kabhī Thokar lagāte the

    use sofe ke pīchhe pheñkte aur bhuul jaate the

    ye un khel thā aur us qismat

    aaj vo mazlūm bhī pal-bhar meñ zinda ho gayā thā

    vo khilaunā

    ab koī dard-āshnā be-laus sāthī chāhtā thā

    us ne apne paas rakhī huī

    guḌiyā jānib

    dostī haath phailāyā

    magar guḌiyā laraz kar haT ga.ī pīchhe

    ki jaise koī dast-e-tifl-e-nādāñ

    is jānib baḌh rahā ho

    jo use iizā bhī degā

    aur shāyad toḌ bhī degā

    use be-mehr bachchoñ se

    jo dukh milte rahe the

    un talḳhī ne

    use achchhe bure ke farq se

    aur sachche jazboñ pazīrā.ī se begāna kiyā thā

    vo shāyad rishta-e-ehsās us mehrbāñ tāsīr se nā-āshnā bhī thī

    jo āñkhoñ meñ chamak aur zindagī meñ rañg bhartī hai

    shikasta-dil khilaunā haath vāpas khīñch kar

    ab sub.h pahlī kiran muntazir hai

    jab fusūñ TuuTe aur is se zindagī chhin jaa.e

    vo phir ek be-ehsās aur be-jān shai ban jaa.e

    kabhi bachpan mein jo paDhte the pariyon ki kahani mein

    pari koi tilsmati asar se

    nim-shab sare khilaunon ko

    badal deti thi jiti-jagti maKHluq mein

    ab yun hua

    aise hi nadida asar ne

    ek ghar mein

    kuchh khilaunon ko ata ki zindagi

    aur lamha bhar mein in ko hansne bolne

    aur subh ki pahli kiran tak

    zinda rahne par kya qadir

    unhi mein ek tha aisa khilauna

    jo khilaunon se bhare kamre mein tanha tha

    use bachche kabhi aaghosh mein lete

    kabhi Thokar lagate the

    use sofe ke pichhe phenkte aur bhul jate the

    ye un ka khel tha aur us ki qismat

    aaj wo mazlum bhi pal-bhar mein zinda ho gaya tha

    wo khilauna

    ab koi dard-ashna be-laus sathi chahta tha

    us ne apne pas hi rakhi hui

    guDiya ki jaanib

    dosti ka hath phailaya

    magar guDiya laraz kar haT gai pichhe

    ki jaise koi dast-e-tifl-e-nadan

    is ki jaanib baDh raha ho

    jo use iza bhi dega

    aur shayad toD bhi dega

    use be-mehr bachchon se

    jo dukh milte rahe the

    un ki talKHi ne

    use achchhe bure ke farq se

    aur sachche jazbon ki pazirai se begana kiya tha

    wo shayad rishta-e-ehsas ki us mehrban tasir se na-ashna bhi thi

    jo aankhon mein chamak aur zindagi mein rang bharti hai

    shikasta-dil khilauna hath wapas khinch kar

    ab subh ki pahli kiran ka muntazir hai

    jab fusun TuTe aur is se zindagi chhin jae

    wo phir ek be-ehsas aur be-jaan shai ban jae

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 168)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition: 39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication: 39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now