ai KHuda
hai yahī iltijā sun hamārī du'ā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
tū hai mā'būd terī 'ibādat kareñ
tere mahbūb kī ham itā'at kareñ
raat din ham kareñ shukr terā adā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
tere ġhaiz-o-ġhazab se sadā ham Dareñ
bandagī meñ tirī tujh ko sajde kareñ
vo kareñ ham ki jis meñ ho terī razā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
zevar-e-'ilm se kar de ārāsta
kāmrānī se rakhnā sadā vāsta
har musībat meñ terā rahe aasrā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
terī rahmat ke saa.e meñ chalte raheñ
misl-e-sham'-e-farozāñ pighalte raheñ
nūr-e-īmān dil meñ hamāre basā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
ham haiñ muhtāj aur tū hai hājat-ravā
puurā kar de hamārā dilī mudda'ā
kul jahāñ meñ nahīñ koī tere sivā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
hai yahi iltija sun hamari du'a
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
tu hai ma'bud teri 'ibaadat karen
tere mahbub ki hum ita'at karen
raat din hum karen shukr tera ada
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
tere ghaiz-o-ghazab se sada hum Daren
bandagi mein teri tujh ko sajde karen
wo karen hum ki jis mein ho teri raza
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
zewar-e-'ilm se kar de aarasta
kaamrani se rakhna sada wasta
har musibat mein tera rahe aasra
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
teri rahmat ke sae mein chalte rahen
misl-e-sham'-e-farozan pighalte rahen
nur-e-iman dil mein hamare basa
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
hum hain muhtaj aur tu hai hajat-rawa
pura kar de hamara dili mudda'a
kul jahan mein nahin koi tere siwa
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.