Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai lahore

Jelani Kamran

ai lahore

Jelani Kamran

MORE BYJelani Kamran

    Interesting Fact

    (Funun, Lahore, December 1973)

    tire daraḳhtoñ Tahniyoñ par bahār utre

    tirī guzargāheñ nek rāhoñ manzileñ hoñ

    mirā zamāna na.e na.e mausamoñ ḳhushbū

    tire shab-o-roz mahak ho

    zamīn par jab bhī raat phaile

    kiran jo zulmat ko raushnī de tirī kiran ho

    parinde uḌte hue parinde

    hazār samtoñ se tere bāġhoñ meñ chahchahā.eñ

    vo raat jis sahar nahīñ hai

    vo tere shahroñ se tere qasboñ se duur guzre

    vo haath jo azmatoñ ke hijje miTā rahā hai

    vo haath lauh-o-qalam ke shajre se TuuT jaa.e

    kalas pe lafzoñ ke phuul barseñ

    tirī fasīloñ ke burj duniyā meñ jagmagā.eñ

    akele-pan sazā meñ din kāTte hazāroñ

    tirī ziyārat-gahoñ baḳhshish se tāza-dam hoñ

    tire muqaddar bādshāhat zamīñ pe nikhre

    na.e zamāne ibtidā tere naam se ho

    ḳhushī ke chehre pe vasl abr tair jaa.e

    tamām duniyā meñ tazkire tere phail jaa.eñ

    tere daraKHton ki Tahniyon par bahaar utre

    teri guzargahen nek rahon ki manzilen hon

    mera zamana nae nae mausamon ki KHushbu

    tere shab-o-roz ki mahak ho

    zamin par jab bhi raat phaile

    kiran jo zulmat ko raushni de teri kiran ho

    parinde uDte hue parinde

    hazar samton se tere baghon mein chahchahaen

    wo raat jis ki sahar nahin hai

    wo tere shahron se tere qasbon se dur guzre

    wo hath jo azmaton ke hijje miTa raha hai

    wo hath lauh-o-qalam ke shajre se TuT jae

    kalas pe lafzon ke phul barsen

    teri fasilon ke burj duniya mein jagmagaen

    akele-pan ki saza mein din kaTte hazaron

    teri ziyarat-gahon ki baKHshish se taza-dam hon

    tere muqaddar ki baadshahat zamin pe nikhre

    nae zamane ki ibtida tere nam se ho

    KHushi ke chehre pe wasl ka abr tair jae

    tamam duniya mein tazkire tere phail jaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now